Qalam uthaa ke socha..
kuch aisaa likhoon…
kuch nayaa saa..
kuch nayaab..
kuch mere ehsasaat se labrez..
kuch mere jazbaat se chalakta hua…
kuch mere khaahishon ka rang liye.
Alfaaz ke muaamle main…
pehli dafaa apni mehroomi se saamna huaa.
Kyaa likh doon…
jo tumhare dil main youn utar jaaye..
jaise khushboo kisi phool main samaa jaaye
kuch aisaa jo tumhare honthon pe thirke to..
sargam ban jaaye…
jisse tum gaao to ghazal ban jaaye.
Kuch aisaa jisse tum odh sako…
apni muattar jild ke itne nazdeek rakho..
ki main sharmaa jaoon.
Dil chaahe..
ki kuch aisaa hi likh doon ki tumare chehre pe
Vo tamaam rangat bikhar jaaye..
jo mere wujood ka haasil hai.
Vo muskurahat..
jo jeene ka sabab bann chuki hai…
vo hansi jo mere sukoon ka baais…
tumhari ho jaaye..
tum main kho jaaye..
jabb tum paRho..
mere alfaaz ko
Mehsoos karo unhen…
us shiddat se..
jo mehsoos ki mere qalam ki jumbish ne.
Us kaghaz ke purze main..
chupi meri duaaon ko tum apne daaman me chupaa lo…
ik ansoo us pe tapkaao..
unhen zindaa karo do.
Mere alfaaaz ko padh kar..
unhen zindagi bakhsho.
No comments:
Post a Comment