khawab bhi aik musafir ki terha hote hai
chashm dar chashm sada in ko safar mein rehna
rang ki mojh mein khushbo ke asar mein rehna
un ki adat hi nhi
aik jaga pe rukna
un ki kismat hi nhi
aik nagar mein rehna
hum bhi ik khawab hain aye jaan,teri ankhon mein
chand lamhon ko jo theharen to humein
apni palkon ki amaan mein rakhna
saya abar-e-tawajo keh gumaan mein rakhna
dehan ke taak se hum ko na hatana,jab tak
raat keh baam pe taron keh diye jalte rahen
dekhna humko,humein dekhte jana,jab tak
hum teri ankh ki wadhi mein safar karte rahen
khawab ka shok yehi,khawab ki kismat bhi yehi
khalqa regh-e-rawan,gard-e-safar mein rehna
rang ki mojh mein,khushbo ke asar mein rehna
hum magar khawab hai kuch aur terha keh,humko
na koi shok-e-safar hai na talash-e-khusbho
teri ankhon mein jalen aur inhen mein bujh jayen
chashm dar chashm nhi humko safar mein rehna!
humko hai teri nazar mein rehna!
No comments:
Post a Comment