Tumhain kaisay bataain ham
Mohabbat aur kahaani main koi rishta nahi hota
Kahani main
To ham waapas bhi aate hain
Mohabbat main palatne ka koi rasta nahi hota
Zara socho !
Kahin dil main kharashain daalti yaadon ki saffaaki
Kahin
daaman say lipti hay kisi bhooli hui
Saa'at ki nam'naaki
Kahin aankhon kay khaimon main
Charagh-e-khuab gul karnay ki saazish ko
Hawa daiti hui raaton ki chaalaki
Magar main banda-e-khaaki
Na jaanay kitnay Firowno'n say uljhi hay
Mairay laihjay ki bay'baaki
Mujhay daikho
Mairay chaihray pay kitnay mousamon ki gard
Aur is gard ki teh main
Samain ki dhoop main rakha ik aaina
Aur aainay main ta hadd-e-nazar phailay
Mohabbat kay sitaray aks ban kay jhilmilatay hain
Nai dunyao'n ka rasta batatay hain
Isi manzar main aainay say uljhi kuch lakeerain hain
Lakeeron main kahaani hay
Kahani aur mohabbat main azal say jang jaari hay
Mohabbat main ik aisa mowr aata hay
Jaha'n aa'kar kahaani haar jaati hay
Kahaani main to kuch kirdar ham khud farz kartay hain
Mohabbat main koi kirdaar bhi farzi nahi hota
Kahani ko kai kirdaar
Mil jul kar kahin aagay chalatay hain
Mohabbat apnay kirdaron ko khud aagay barhaati hay
Kahaani main kai kirdaar
Zinda hi nahi rehtay
Mohabbat apnay kirdaro'n ko marnay hi nahi daiti
Kahaani kay safar main
Manzaron ki dhool urti hay
Mohabbat ki musaafat raah'geeron ko bikharnay hi nahi daiti
Mohabbat ik shajar hay
Aur shajar ko is say kiya matlab
Kay us kay sa'aiy main
Jo bhi thaka haara musaafir aa'kay baitha hay
Ab us ki nasl kiya hay rang kaisa hay
Kaha'n say aaya hay
Kis simt jaana hay
Shajar ka kaam to bas chaao'n daina
Dhoop saihna hay
Usay is say gharaz kiya hay
Paraao daalnay waalon main kis nay
Chaao'n ki taqseem ka jhagra uthaaya hay
Kahaa'n kis aiyhad ko tora kahaan waada nibhaaya hay
Magar ham jaantay hain
Chaao'n jab taqseem ho ja'aiy
To aksar dhoop kay nayzay
Rag.o.paiy main utartay hain
Aur is kay zakhm khowrda loge
Jeetay hain na martay hain.....
No comments:
Post a Comment