Friday, May 7, 2010

Rait pe likh ker naam mera mitaya na kero



Rait pe likh ker naam mera mitaya na kero 

Ankhain sach bolti hein pyar chupaya na kero 



Log har baat ka afsana bana lete hein 

Sab ko halaat ki rawadad sunaya na kero 



Yeh zaroori nahin her shakhs maseeha hi ho 

Pyar ke zakham amanat hein dikhaya na kero 



Shahera-e-ehsaas mein patheraoo buhat hai mohsan 

Dil k sheshay ko jharokoon mein sajjaya na kero 

No comments:

Popular Posts