Friday, May 7, 2010

Yun Hii Dosh Per SanbhaaLay GhHaNi ZuLf Kay Do-Shaanay

Yun Hii Dosh Per SanbhaaLay
GhHaNi ZuLf Kay Do-Shaanay
Wohi SanwaLi Sii RanGat
Wohi Nain Neend WaaLay
Wohi Man-Passand QaaMat
Wohi Khush-Numaa SeraaPa
Jo Badan Main Neem-Khaawbi
Tou Lahuu Main Rat-Jaga Sa
Kabhi Pyaas Ka Samandar
Kabhi AAas Ka Jazeera
Wahi Meharbaan Leh-Ja
Wahi Mezbaan Vateera
Tujeh Shaayree Say Rugg-bet
Ussay Shair Yaad Mairay
Wohi Uss Kay Bhi Kareenay
Jo Hain Khaas Wasf Tairay
KISI AUR HII SAFAR MAIN
Ser-Raah MiL Gayii Thii
Tujeh Aur Kia Bataaown
Woh Teri Tarah kOii Thii
Kisii Shehar-e-Bay-Imaan Main
Main Watan-Badar AkaiLa
Kabhi Maut Ka Safar Tha
Kabhi Zindagi Say KhaiLa
Mera Jism JaL raha Tha
Woh Ghuut Ka Saaibaan Thii
Main Rafaaqaton Ka Maara
Woh Meri Mizaaj-daan Thii
Mujeh DIL SAY USS Nay Pooja
Ussay Jaan say Main Chaaha
Issi Ham-rahi Main AaKhir
Kahiin Aa gaya Do-Raaha
Yahan Gum-Raahi Kay ImKaan
Ussay Rang-o-Bo Ka Lapka
Yahan Lagzishon Ka Saaman
Ussay Khaawhishon Nay Thapka
Yahan Daam Thay Hazaaron
Yahan Her Taraf Qafas Thay
Kahiin Zer-Zameen Ka DaL-DaL
Kahiin JaaL Thay Hawas Kay
WOH FIzaah Ki FaakhTa Thii
Woh Hawa Ki Raaj-Patrii
Kissi GHaat Ko Na Daikha
Kissi JheeeL Per Na Utrii
Phir IK SHAAM AISII AYEE
KEH WOH SHAAM AAKHRI THI
KOI ZAN-ZALAA SA AYAA
KOII BERQ SI GIRI THI
AJAB AANDHIAAN CHALIIN PHIR
KEH BIKHAR GAYAY DIL-O-JAAN
NA KAHIIN GUL-E-WAFA THAA
NA Chiraag-e-Ehad-o-Paimaan
WOh Jahaaz UTAR GAYA THA
Yeh Jahaaz Utar Raha Hai
Teri Aankh Main Hain Aansoo
Mera DiL Bikhar Raha Hai
TU Jahan Mujeh MiLi Hai
Woh Wohi Judaa Hui Thii
Tujeh Aur Kiaa Bataaown
WOH Teri Tarah Koii Thii....

No comments:

Popular Posts