Kissa kisi tareh bhi mukammel na ho saka,
Dil ro raha tha ankhon mai jal thal na ho saka.
Too jaraha tha aur mujhe kuch bhi na hua,
Mai tere gum-kade main bhi paagel na ho saka.
Veeraniyan na jayengi gher ki tere bagair,
Jangel bagair kais ke jungel na ho saka.
Ye gum to kabra main bhi mere saath jayga,
Main uski aankh ka kaajel na ho saka.
55 bares ki umra to hone ko aagayi,
lekin wo chehra aankhon se ojhel na ho saka.
Main mushkilon main reh ke bhi saabit kadam raha,
Wo boriya hoon jo kabhi makhmal na ho saka.
1 comment:
nice poetry! visitin gur blog first tym and u earned a new follower. great blog!!
Post a Comment