Tuesday, April 20, 2010

Awaz k Khanjer Maar Daite Hain

!!..Awaz k Khanjer Maar Daite Hain..!!

Kabi ghar say nikal kar tum ne socha....!!

Akelay chand ko dekha...??

Kabi sunsaan bagh'oon main....!!

Kisi tanha rawishh par chalte chalte ' chaand say pocha.....!!

K wo tum say zada muztaraab kiyun hai......???

Magar tum.............

Bunnd kamrey k makeen......!!

Khuwaboon k shezaday..!

Nikal kar garam kamray say......!!

Kahan jaoo gay adhi raat ko sunsaan bagh'oon main..!!!

Akelay chaand say baa'tain to wo mazlum keya karte hain......

Jin'hain apne he ghar k Dar-O-Dewaar dhutt'kaar daite hain....!!!

Jinhain apni he awaz k khanjar maar daite hain..........!!!

No comments:

Popular Posts