Tuesday, April 20, 2010

Door ek Laash pari hai

Dekho...

Door ek Laash pari hai..

Chohraaye key Daaie'n Janib

Konay per sun-san gali ki

Kachra-Kundi dekh rahey ho ?

Os ke pas, Lahoo me Luthrri

Khak-Alooda, Bhikrri Bhikrri

Ghair Ya apna, kon hai Jane ?

Aao ..! Dekhe'n aur Pechane'n

Naqsh mita daley, Goli ney

Rangat khoon me Doob gai hai

Jeib ta-tolo, kya rakha hai ?

Ye 2 khoon se tar, Gajray hen

10, 10 ke do note rakhey hen

Haath jo neechey daba hoa hai

Es ki sakhat griffet me kya hai ?

Shayad..! hai school ka Basta

Jeib se ye kya Jhaank raha hai

Ek Parcha hai, Khat hai... shayad

Tooti Phooti si Urdu mein

Rang-Brangi Pencilo'n key

Sab Rango'n se Likha hoa hai

.
.
.
.
.

" Aaj Jo Bhoolay Basta mera
Katti ho jaye gi... tum se toffee aur Biscut bhe lena...!
Peyarey Abu, Jaldi ana...!!!"


****************

2 comments:

Admin said...

What a beautiful poem.

Charahoo per baigunah qatal ker ke painkhi hui lashon ke peechay , na janay kitni hi aisi kahani hoti hain.

piyaray abbu jaldi aana...

FAYSAL'S POETRY said...

thanks dear......... regards faysal

Popular Posts