Tuesday, April 20, 2010

Hawas aur Muhabbat

Hawas aur Muhabbat.......!!

Kaha mainay janan,
Yeh sub kuch baja hay,
Hamaray ta’luk k her rastay mein
BadaN sung-e-manzil ki surat kharra hay!!

Hawas aur Muhabbat ka lehja hay yaksaan,
K donu teraf say badan bolta hay,
Bazahir zaman-o-Makan kay safar mein
Badan Ibtida hay, Badan Intiha hay!
Mager iskay hutay………. sabhi kuch k hotay,
Kahein beech mein wu ju ek fasla hay,

Woh Kia Hay???

Meri Jaan, daikhoo
Yeh Mohoom sa fasla he hakeekat mein
Sari kahani ka asli sira hay
Badan ki hakeekat, muhabbat kay kisay ka sirf ek hissa hay,
aur is say agay

Muhabbat mein ju kuch hay usko samajna
Badan kay tasawur say he ma’wara hay
Yeh ek kay’fiyat hay
Jisay naam daina tu mumkin nahi
Samajhnay ki khatir
bus itna samajh lo

Zameen Zadgaan kay mukaddar ka jub faisla hu gaya
Tu apnay tahafuz, tashakhus ki khatir,
Her ek zaat ko ek ta’la milla tha
Wu makhsoos ta’la, ju ek khas number pay khulta hay lakin
Kisi aur number say milta nahi hay
Mujhay aur tujhay bhee yeh ta’lay milay thay

Mager farq itna hay kay donu kay khulnay kay number wuhi hein,
aur in numberoon pay hamaray siwa
teesra koi bhee quf’l khulta nahi
teri aur meri baat kay dermiyan
Bus yahi ferq hay

Hawis aur Muhabbat mein aye jan-e-jaan

Bus yahi ferq hay.....!!

No comments:

Popular Posts