Wednesday, May 5, 2010

December Beet Jayega

Tumhein yaad hai tumne aik baar kaha tha..."Mere sath december ki tarhan raho jo dhoop aur barfbari dono soorton mein dil moh leta hai aur ager meri muhabbat tumhein tang karne lage tou please mujhe bhool jana".....Iss din se meri shamon ko raton mein badal jane aur raton ko subah hone ke intezar ne december tak ka safar-e-zindagi dushwar banaya tha...
December ki in barishon ki yaad ne mera har pal chura liya tha jinki tum aksar batein kiya karte they.....Na jane kyun mujhe apne ehsasaat pe ikhtiyar nahi rehta
ke zindagi ki har kahani tumhare hi gird ghoomti hai
jaise ke mere kisi bhi fasane ko tum bin anjam milna duur-az-qyas ho
December aya tou dil ki har khuwahish tumhein pane ko machli aur tumhein dekhe bigair jeena ajeeran maloom hua...Mein barfbari ki woh khubsoorat sham kaise bhooloon jab tumne thatharte hue mera hath tham liya tha aur
mere jism ko aik nayi rooh se roshnaas karaya tha.
tum mere ho bhi gaye ho lekin yeh musaaftein.....Humare darmyan yeh taweel fasley pal pal tumhein sochna aur khuwahishon ke darmyan jeena kitna khathin kaam hai.
tumne jate hue yeh kaisi tamannaon se asshna kiya jo faqat december tak mehdood hain
aur baad-e-azan khali hathon ki mutaradif..!
Mujhe lafzon mein na jakro aur meri sochon ko azad rehne do ke meri har soch kisi na kisi hawale se tumhari zaat pe theharti hai...

Suno! mein tumhare sath december ki tarhan hi rahoonga,yeh mera wada hai.....bas tum december ki kisi sham ajao, meri dharkano ko tarteeb dou aur meri bikhri hui pareshan sochon ko samett lo ke mein bauhat thak gaya hoon aur zindagi se haar chuka hoon..kabhi taron bhari raton mein jab tum yaad atey ho tou meri duwayein shiddat pakarti hain,daaman bheeg jata hai,seene mein chupi tumhari pagal chahat tumhare naam ka aik diya jalati hai...jo december ki in barishron aur aandhiyon ki zadd mein jal karmeri har umeedko raakh kar deta hai ........aur phir kabhi mein tumhein adhoorey chand mein aur kabhi barf ki iss safaid chadar mein barey khuloos se dhoondne lagta hoon tou hamesha ki tarhan khali hath lot ta hoon.
Mein yeh nahi kehta ke tumhare bagair lamhe beetey nahi jate,pal nahi guzarte,han mager tumhare qareeb hoker,sath reh kar zindagi kam az kam zindagi lagti hai.
tumhare bigair yeh december bhi apni akhri ghariyan gin kar sisakte sisaktey beet jayega aur shayed is bar mein apni sanson ka yeh taweel silsila bhi iss guzarte december mein kahien torh doon. Aa bhi jao ke zindagi bauhat mukhtasir hai, Aur kise khabar phir hum kahan hon, jab yeh december beet jayega......!!!

No comments:

Popular Posts