Ranjish hi sahi DIL hi dukhane ke liye AA
AA phir se mujhe Chor ke jaane ke liye AA
Kuch to mere Pindaar-e-Mohabbat ka Bharum rakh
Tu bhi to Kabhi Mujh ko Manane ke liye AA
Pehle se Maraasim na sahi, Phir bhi kabhi to
Rasm w Reh duniya hi Nibhane ke liye AA
Kis Kis ko bataayein gye Judai ka Sabab Hum
Tu mujh se Khafa hai to Zamane ke liye AA
Ik Umer se hoon Lazzat-e-girya se bhi Mehrooom
Aye Raahat-e-Jaan mujh ko rulane ke liye AA
Ab tak Dil-e-Khush Fehm ko Tujh se hain Umeedein
Yeh Aakhri Shamhein bhi bujhane ke liye AA

No comments:
Post a Comment