Wednesday, May 5, 2010

Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai

**USS NEY KAHA**
Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai...
MAin ney kaha sitaron ka koi shumar nahin
Us ney kaha k kon tumhein hai buhat aziz ?
MAin ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyaar hai
Us ney kaha Kon sa Tofah tumhein main doon
MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai
Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz...
Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai......
Us ney kaha senkron gham zindagi main hain
Main ney kaha gham nahin, jab ghamguzaar saath hai
Us ney kaha saath kahan tak nibhaoo gi...???
Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai......
Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah
Main ney kaha, naam mera aetbaar hai....!!!

No comments:

Popular Posts