Wednesday, May 5, 2010

pahla sa haal pahli si wahshat nahe rahi

pahla sa haal pahli si wahshat nahe rahi
shayad kay teray hijr ki adat nahe rahi

rangon main ik rung teri sadgi ka rung
aisi hawa chali kay won rangat nahe rahi

rahon main ik raah woh ghar lotnay ki raah
thahray kisi jaga par woh tabiat nahe rahi

naamoo.n main ik naam sawal-e-ashna ka naam
ab dil pay aisi koi ibarat nahe rahi

ratoon main ik raat meray ghar ki chand raat
angun ko meray us raat ki zarorat nahe rahi

zakhmo.n main ik zakham mata-e-hunar ka zakham
ab koi arz-o-jarahut nahe rahi

sannata bolta hai sada mut laga faysal
awaz tu rah gai hai sama`at nahe rahi !

No comments:

Popular Posts