Wednesday, May 5, 2010

khaab ki tarha bikhar jaane ko jee chahta hai

khaab ki tarha bikhar jaane ko jee chahta hai
aisi tanhai k marr jaane ko jee chahta hai

ghar ki wehshat se larazta hoon magar jaane kyun
shaam hoti hai to ghar jaane ko jee chahta hai

doob jaon to koi mauj nishan tak na batae
aisi naddi mein uter jaane ko jee chahta hai

kabhi mil jaye to raste ki thakan jaag pare
aisi manzil se guzar jaane ko jee chahta hai

wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bohat
ussi paiman se muker jaane ko jee chahta hai

No comments:

Popular Posts