Azal Se Mohabbat Hai Maava Lafzon Ki Maala Se,
Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai,
Mohabbat Soch Ke Aakash Par Baadal Ki Soorat Mein,
Sada Parwaaz Karti Hai,
Kabhi Baarish Ki Boondon Mein Simat Kar Dil Ki Dharti Par,
Utarti Hai..........Bikharti Hai,
Ada Le Kar Saba Se Ye, Gulabon Se Mehek Le Kar,
Dhanak Se Rang Le Kar Aur Sitaron Se Chamak Le Kar,
Haseen Aanchal Banati Hai,
Isi Aanchal Se Phir Khwabon Ke Kachhe Ghar Banati Hai,
Mohabbat Aazmati Hai,
Kabhi Ye Sher Bankar Lafz Ki Hurmat Badhati Hai,
Kabhi Ye Saaz Bankar Dhire Dhire Gungunati Hai,
Saraapa Aankh Ban Jaati Hai Ye Mehboob Ko Paa Kar,
Anokha Lams Ban Jati Hai Koo-E-Yaar Mein Jaa Kar,
Na Jane Kaunsa Mantar Padh Kar Haule Haule Se,
Kisiki Band Palkon Mein Bina Dastak Diye Ekdam,
Utar Kar Ghar Banati Hai.......Mohabbat Muskurati Hai,
Ye Khushbu Hai Hamesha Phool Ki Saanson Mein Hoti Hai,
Bana De Chaand Tera Shab Ko Jo Ye Aisa Moti Hai,
Kasak Hai Daayimi Is Mein Bahut Benaam Lazzat Hai,
Mohabbt Ki Yehi Tareef Hai Ke,
YEHI MOHABBAT HAI...
No comments:
Post a Comment