Marti Hui Zameen Ko Bachana Pada Mujhe,
Badal Ki Tarah Dasht Mein Aana Pada Mujhe,
Wo Kar Nahi Raha Tha Meri Baat Ka Yaqeen,
Phir Yun Hua Ke Mar Ke Dikhana Pada Mujhe,
Bhoole Se Meri Simt Koi Dekhta Na Tha,
Chehre Pe Ek Zakhm Lagana Pada Mujhe,
Us Ajnabi Se Haath Milane Ke Waste,
Mehfil Mein Sabse Haath Milana Pada Mujhe,
Yaadein Thi Dafan Aisi Ke Baad-E-Az Farookht Bhi,
Us Ghar Ki Dekhbhal Ko Jana Pada Mujhe,
Us Bewafa Ki Yaad Dilata Tha Baar Baar,
Kal Aayine Pe Haath Uthana Pada Mujhe,
Aise Bichhad Ke Usne To Mar Jana Tha,
Uski Nazar Mein Khudko Girana Pada Mujhe...
No comments:
Post a Comment