Thursday, July 22, 2010

Kabhi Kabhi Karna Nahi Jo Kaam Karna Padta Hai



Kabhi Kabhi,
Karna Nahi Jo Kaam,
Karna Padta Hai,
Mohabbat Ko Nafrat,
Likhna Padta Hai,
Mohabbat,
Jo Ang Ang Mein Bhari Hai,
Rom Rom Mein Basi Hai,
Uske Ehsaas Se Bhi,
Mukarna Padta Hai,
Dard Ke Sagar Mein,
Na Chahte Bhi,
Utarna Padta Hai,
Suno
Mausam Ki Tarah Badalne Wale
Suno
Hamein Tumse Mohabbat Hai
Yehi Tumse Kaha Tha,
Dilki Gehraiyon Se Tumhe
Chaha Tha,
Khabar Kya Thi Ye Wisl Ghadi,
Pal Bhar Mein Dhal Jayegi,
Hamari Soch Bhi
Tumhari Soch Ki Tarah,
Badal Jayegi,
Haan Waqt Ghaav Lagata Hai Aise,
Koi Sambhale Bhi To Sambhle Kaise,
Par Dard Saare Seh Kar Bhi,
Sambhalna Padta Hai,
Phir Raahein Saraab Sahi,
Pur Azaab Sahi,
Chalna Padta Hai,
Tumhari Yaad Ki Khushboo Se,
Tann Mann Jo Mehekta Rehta Tha,
Door Ho Ke Bhi Paas Ho Tum Mere,
Dilka Rom Rom Yehi Kehta Tha,

Kabhi Kabhi,
Karna Nahi Jo Kaam,
Karna Padta Hai,
Mohabbat Ko Nafrat,
Likhna Padta Hai...

No comments:

Popular Posts