Thursday, July 22, 2010

Na Jaane Kaisi Hawa Chali Hai Ke Sheher Saara Badal Gaya Hai


Na Jaane Kaisi Hawa Chali Hai Ke Sheher Saara Badal Gaya Hai,
Kisiki Aankhein Badal Gayi Hai Kisika Chehra Badal Gaya Hai,

Haseen Din The Jameel Raatein Na Khatam Hoti Thi Apni Baatein,
Ajeeb Chup Si Theher Gayi Hai Wo Jab Se Lehja Badal Gaya Hai,

Fazayein Benoor Ho Rahi Hai Hawayein Chup Chap Ro Rahi Hai,
Bas Ek Judayi Se Apne Ghar Ka Tamaam Naqsha Badal Gaya Hai,

Ab Apni Manzil Nahi Hai Koi Ab Apna Rasta Nahi Hai Koi,
Kisi Se Manzil Badal Gayi Hai Kisi Se Rasta Badal Gaya Hai,

Nazar Se Guzre To Dekh Lena Jo Yaad Aaye To Soch Lena,
Kabhi To Shak Sa Guzarne Lagta Hai Jaise Rishta Badal Gaya Hai,

Kabhi To Yun Tha Har Ek Sa'at Malaal Rehta Tha Dooriyon Pe,
Aur Ab Ye Aalam Hai Zindagani Ka Lamha Lamha Badal Gaya Hai,

Kayi Dino Se Use Hum Akhtar Ajeeb Huliye Mein Dekhte Hai,
Ke Jism Saara Usi Tarah Hai Bas Ek Chehra Badal Gaya Hai...

No comments:

Popular Posts