Guzar gaye kai mausam kai ruten badlin
Udas tum bhi ho yaaron udas hum bhi hain
Faqt tumko hi nahi ranj-e-chak damani
Jo sach kahen to dareeda libaas hum bhi hain
Tumhare baam ki shammein bhi tabnak nahi
Mere falaq ke sitare bhi zard zard se hain
Tumhen tumhare aaina khane ki zangalooda
Mere surahi aur sagar gard gard se hain
Na tumko apne khado khaal hi nazar aayen
Na main yeh dekh sakoon zaam mein bhara kya hai
Basharaton pe woh jale pade ki dono ko
Samajh mein kuchh nahi aata ki mazra kya hai
Na sar mein who garoor-e-qaseeda qamti hai
Na kumriyon ki udasi mein kuchh kami aayi
Na khil sake kisi zanib mohabbaton ke gulab
Na shakh-e-aman liye fakhta koi aayi
Alam to yeh hai ki dono ke marzaron se
hawa-e-fitna-o-boo-e-fasad aati hai
sitam to yeh hai ki dono ko waham hai ki bahar
udook-e-khoon mein nahane ke baad aati hai
so yeh maal hua ki is darindagi ka ki
ab tumahre haath salamat rahe na haath mere
karen to kis se Karen apni lagzison ka gila
na koi saath tumahre na koi saath mere
tumhein bhi zid hai ki mask-e-sitam rahe zari
humein bhi naaz ki zaro zafa ke aadi hain
tumhein bhi zom mahabharat ladi tumne
humein bhi fakhr ki hum qarbala ke aadi hain
tumahre hamare shahron ki mazboor benawa makhlooq
dabi hui hain dukhon ke hazard heron mein
ab inki teer-e-nashi bhi chirag chahti hai
jo log unnes sadi tak rahe andheron mein
chirag jin se mohabbat ko roshni faile
chirag jin se diye beshumar roshan hon
tumhare desh mein aaya hoon doston
ab ke na saaz-o- naghmon ki mehfil na shayari ke liye
agar tumahri hi ana ka hai sawal
to chalo main haath badhata hoon dosti ke liye
No comments:
Post a Comment