Wednesday, July 14, 2010

Yeh saraaye hai yahan kis ka thikaana dhoondo



Yeh saraaye hai yahan kis ka thikaana dhoondo
Yaan tou aatay hain musaafir, so chalay jatay hain

Haan yehi naam thaa, kuch aesa hi chehra muhraa
Yaad parrta hai keh aayaa thaa musaafir koii
Soonay aangan main phira karta thaa tanha tanha
Kitni gehrii thii nigaahon kii udaasi uss kii
Log kehtay they keh hoga koii aaseb-zadda
Hum nay aesii bhii koii baat naa uss main dekhii

Yeh bhi himmat na hoii, paas bithaa key poochain
Dil yeh kehta thaa koii dard ka maara hoga
Lout aayaa hai jo aawaaz na uss kii paaii
Jaanay kiss dar peh kissay jaa key pukaara hoga
Yaan tou her roz kii baatain hain yeh jeetain maatain
Yeh bhi chaahat key kisi khail main hara hoga

Aik tasveer thii, kuch aap say miltii jultii
Aik tehreer thii, per iss ka tou qissa chorro
Chand ghazlain theen keh likheen, kabhi likh kar kaateen
Shair achay they, jo sun lo tou kaleja thaamo
Bus yehii haal musaafir ka thaa, hum nay dekhaa
Jaanay kiss raah main kiss shakhs nay loota uss ko

Guzra kartay hain sulagtay howay baaqi ayyaam
Log jub aag lagatay hain bujhaatay bhi nahin
Ajnabi peet kay maaron say kisi ko kya kaam
Bastiyon walay kabhi naaz uthaatay bhi nahin
Cheen laitay hain kisi shakhs say ji ka aaraam
Phir bulaatay bhi nahin, paas bithaatay bhi nahin

Aik din subh jo dekhaa tuo saraaye main na thaa
Jaanay kis dais gyaa hai woh divana dhoondo
Hum say poocho tou na aaye ga woh janay wala
Tum tou na-haq ko bhataknay ka bahaana dhoondo
Yaan tou aayaa jo musaafir younhii shab-bhar thehra
Yeh saraaye hai yahan kis ka thikaana dhoondo

No comments:

Popular Posts