Wednesday, July 14, 2010

us ka apna hi karishma hai fasoon hai yun hai


us ka apna hi karishma hai fasoon hai yun hai
yun to kehne ko sabhi kehtay hain yun hai yun hai

jaisay koi dar e dil per ho stadah kab se,
aik saya na daroon hai na baroon hai yun hai

tum ne dekhi hi nahin dast e wafa ki tasvir
nook e her khaar pe ik qathrah e khoon hai yun hai

tum mohabbat main kahan sood o zyaan le aaye
ishq ka naam khirad hai na junoon hai yun hai

ab tum aaye ho meri jaan tamasha karne
ab to darya main talatum na sukoon hai yun hai

naseha tujh ko khaber kya k mohabbat kya hai
roz aa jata hai samjhata hai yun hai yun hai

shairy tazah zamanoon ki hai maimaar FARAZ!
ye bhi ik silsilay e kun fa yakoon hai yun hai.

No comments:

Popular Posts