Jo utar ke zeenaa-e-shaam se terii chashm-e-Khush mein samaa gaye
wahii jalate bujhate Se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye
yeh ajiib khel hai pyar kaa main ne aap dekhaa yeh mojezaa
woh jo lafz mere gumaan mein they woh terii zubaan par aa gaye
woh jo geet tum ne sunaa nahiin merii umr bhar kaa riyaaz thaa
mere dard kii thii woh daastaan jise tum hansii mein uraa gaye
woh charaaG-e-jaaN kabhii jis kii lau na kisii havaa se niguun huii
Terii bevafaii ke vaasavaa use chupake chupake bujhaa gaye
woh thaa chaand shaam-e-visaal kaa ke thaa ruup tere jamaal kaa
Merii ruuh se merii aankh tak kisii raushanii mein nahaa gaye
yeh jo bandgaan-e-niyaaz hai yeh tamaam hai vo lashkarii
Jinhen zindagii ney aman na dii to tere huzuur mein aa gaye
terii beruKhii ke dayaar mein, main havaa ke saath havaa huaa
Tere aayine kii talaash mein mere Khvaab cheharaa ganvaa gaye
Tere vaasavaaon ke fishar mein teraa sharar-e-rang ujar gayaa
Merii Khvaahishon ke Gubaar mein mere maah-o-saal-e-vafaa gaye
who ajiib phuul se lafz they tere honT jin sey mahak uThe
Mere dasht-e-Khvaab mein duur tak koii baaG jaise lagaa gaye
Merii umr se na simaT sake mere dil mein itane savaal they
Terey paas jitane jawaab they terii ik nigaah mein aa gaye
No comments:
Post a Comment