Wednesday, July 14, 2010

Udas Mat Ho Dil-E-Musafir Udas Mat Ho


Udas Mat Ho
Dil-E-Musafir Udas Mat Ho
Hawa Agerche Phuwar Daman Mein Bher Ke Layee Hai Beykalli Ki
Faza Agerche Kisee Khamoshi Se Muz,mahel Hai
Nigaah Mein Koee Raah Had E Niaah Tak Bey Panah Khali Hai
Din Sawali hai . Raat Kaali Hai
Shaam Roti Hai
Man Bhigoti Hai
Aas Bhi Gerche Bas Khayali Hai' Bas Khayali Hai......
Udas Mat Ho
Magar Tu Phir Bhi Udas Mat Ho
Udas Mat Ho
Agerche Lamhon Ki Sard Puron Pe Hijar Likha Hua Hai Barson
Agerche Waqti Khushi Ke Seene Pe Mustakil Dard Mal Gaya Hai Duaa Ki Sarson
Agerche Ehsas Ki Ragon Mein
Koee Andhera Sa Jam Gaya Hai-Khayal Mein Waqt Tham Gaya Hai
Abhi Koee Intezar Aankhon Se Kam Gaya Hai
Sitam Gaya Hai Na Koee Ranj O Alam Gaya Hai(Na Sabr Ke Sar Ka Kham Gaya Hai)
Yeh Sab Tumhare Hi Pairahan Hain
Abhi Se Yuun Belibas Mat Ho
Dil-E-Musafir
Udas Mat Ho

Abhi To Aankhon Mein Aansoon Ki Buhat Jaga Hai
Abhi To Raton Ke Jangalon Mein Musafaton Ki Buhat Jaga Hai
Abhi To Aahon Ke Qafle Mein Buhat Nami Hai
Abhi To Har Shay Ki Zindagee Mein Buhat Kami Hai
Abhi Se Yuun Khud Shanas Mat Ho
Udas Mat Ho
Dil-E-Musafir
Udas Mat Ho

No comments:

Popular Posts