Yeh dasht-e-hijr, yeh wehshat, yeh shaam kay saaye
Khuda yeh waqt terii aankh ko na dikhlaaye
Ussi kay naam say lafzon main chaand utray hain
Woh aik shakhs keh dekhoon tou aankh bhar aaye
Kali say main nay gul-e-tar jisay banaya thaa
Rutain badaltii hain kaisay, mujhay hi samjhaaye
Jo be-charaagh gharon ko charaagh deta hai
Ussay kaho keh meray shehar ki taraf aaye
Yeh iztaraab-e-musalsal azaab hai Ya Rab
Mera nahiin tou kisi aur hii ka ho jaaye
No comments:
Post a Comment