Wednesday, July 14, 2010

ho na duniya main koi hum sa bhi piyasa lougoon


ho na duniya main koi hum sa bhi piyasa lougoon
jee main aati hay k pee jayen ye darya lougoon
kitni is shaher k sakhiyoun k suni thi baatien
hum jo aaye to kisi ne bhi na pocha lougoon
itefaqan he sahi, par koi dar to khulta
jhilmilata pas_e_chilman koi saaya lougoon
sab k sab mast rahay apne nihaa khanoun main
koi kuch baat musafir ki bhi sunta lougoon






hoonge is shaher main kuch us k bhi parhney walay
youn to ye shaks bhi mashhour tha khasa lougoon
kisi daaman, kisi aanchal ki hawa to milti
jab sar_e_rah ye daamandha gira tha lougoon






ik tasveer thi, kya janiye kis ki tasveer
naqsh muhoom se, or rang ura sa lougoon
ik awaaz thi, kya janiye kis ki aawaaz
us ne aawaaz ka rishta bhi na rakha lougoon





kuch pata us ka humain ho to tumhain batlaaien
koun ghar? koun nagar? koun muhallah lougoon
chand hurfoun ka muamma tha wo uljha suljha
us ne to naam bhi poura na bataya lougoon






haaye ye dard k mushkil se thama tha dil me
chand ponam ka abhi se nikal aaya lougoon?







phir wohe dasht, wohe dasht ki tanhaiye hay
wahshat e dil ne kaheen ka bhi na rakha lougoon
us main himmat hay to dar aaye,outha de ye hisaar
apne gunbad main to dar hay na dareecha lougoon
jee ki jee he main rahainhasrataien toofaan ki
ye safina to kinaray he pe douba lougoon







aaj ki daak se kya koi lifafa aaya?
kaisi sargoshiyaan kartay ho. aray kya lougoon
koi paighaam zubani bhi nahi kuch bhi nahi
hum ne apne ko bohot dair samhala lougoon
band aankhain howe jaati hain, pasaaraien paaon
neend si neend? humain ab na outhana lougoon
ik he shab hay taveel,itni taveel, itni taveel
apne aiiyaam main imroz na farda, lougoon





ab koi aaye to kehna musafir to gaya
ye bhi kehna k bhala ab bhi na jata lougoon
rah taktay howe pathra si gayen theen aankhain
aah bhartay howe chalni howa seena lougoon
hoont jaltay thay jo layta tha kabhi aap ka naam
is tarha or kisi ko na sataya lougoon......!!!

Main apne bad apni Sada chor jaunga

No comments:

Popular Posts