Qurbaton main bhi judaaii kay zamaanay maangay
Dil woh be-mehar keh ronay kay bahaanay maangay
Hum na hotay tou kisi aur kay charchay hotay
Khalqat-e-shehar tou kehnay ko fasaanay maangay
Yehi dil thaa keh tarasta thaa maraasim kailiye
Ab yehi tark-e-talluq kay bahaanay maangay
Main woh mehroom keh jaisay koii veeraana ho
Tuu woh khush-fehm, kharaabon say khazaanay maangay
Apna yeh haal keh jii haar chukay, lut bhi chukay
Aur muhabbat wohii andaaz puraanay maangay
No comments:
Post a Comment