Wednesday, January 25, 2012

Rukhsat ai bazm-e-jahaan soo-e-watan jaata hoon main


Rukhsat ai bazm-e-jahaan soo-e-watan jaata hoon main
Aah is aabaad weeraaney mein ghabraata hoon main

Bas k main afsurda dil hoon dar Khur-e-mehfil nahi
Tu mere qaabil nahi hai main tere qaabil nahi

Dhoondta Phirta Hoon Iqbal Apnay Aap Ko

Dhoondta Phirta Hoon Iqbal Apnay Aap Ko
Aap Hi Goya Musafir Aap Hi Manzil Hoon Main..!

Nikaala ham ko Janat se Fareb-e-Zindagi dey ker

Nikaala ham ko Janat se Fareb-e-Zindagi dey ker
Dia phir shaoq-e-Janat kyon Ye Hairaani nahi jati

Zabaan sey gar kiya tauheed ka dawa to kya hasil

Zabaan sey gar kiya tauheed ka dawa to kya hasil
Banaya hay Bute pindaar ko apna khuda tuney"

Butoon se tujh ko umeedein khuda se na umeedi


Butoon se tujh ko umeedein khuda se na umeedi
mujhe batta tu he orr KAFIRI kia hai?

Jis khait say dehqan ko mayassar na ho rozi

Jis khait say dehqan ko mayassar na ho rozi
us khait kay har khosha-e-gandum ko jala do

Hazaron saal nargis apni benoori pe roti hai

Hazaron saal nargis apni benoori pe roti hai
bardi mushkil say hota hay chaman mein deedawar paida

Ki MUHAMMAD say wafa too nay to hum tere hein

Ki MUHAMMAD say wafa too nay to hum tere hein
ye jahan cheez hay kia loh-o-qalam tere hein

Paani paani kar gayee mujh ko qalandar ki ye baat

Paani paani kar gayee mujh ko qalandar ki ye baat
Tu agar maira nahi banta na ban apna to ban

Ai taayir-e-laahooti us rizq se maut achhi

Ai taayir-e-laahooti us rizq se maut achhi
Jis rizq se aati hai parvaaz mein kotaahi

Jo Main Sar-ba-Sajda Hua Kabhi


Jo Main Sar-ba-Sajda Hua Kabhi Toh Zameen se aaney Lagi Sada
Tera DiL toh hai Sanam Aashna..Tujhey Kya Milega Namaaz Main

Dunya ki mehfilon se ukta gaya hoon yaa Rab

Dunya ki mehfilon se ukta gaya hoon yaa Rab
Kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho

Patthar ki moorton mein samjha hai tu Khuda hai

Patthar ki moorton mein samjha hai tu Khuda hai
Khaak-e-watan ka mujh ko har zarra daivta hai

Yaqeen muhkam amal paiham mohabbat faateh-e-aalam

Yaqeen muhkam amal paiham mohabbat faateh-e-aalam
Jehaad-e-zindagaani mein yeh hain mardon ki shamsheerain

Koyi andaaza kar sakta hai is k zoar-e-baazoo ka

Koyi andaaza kar sakta hai is k zoar-e-baazoo ka
Nigaah-e-mard-e-momin se badal jaatee hain taqdeerain

masjid to bana di shab bhar main eeman ki hararat walon ne

masjid to bana di shab bhar main eeman ki hararat walon ne
mann apna purana paapi tha barson main namazi ben na saka

Ho qaid-e-maqami to natija hey tabahi

Ho qaid-e-maqami to natija hey tabahi
Reh behr main azad sorat-e-mahi

Nahi Tera Nasheman Qasr E Sultaani Ki Gunbad Par


Nahi Tera Nasheman Qasr E Sultaani Ki Gunbad Par
Tu Shaheen Hai Basera Kar Pahaaron ki Chataanon Main

Na kahein jahaan mein amaan mili

Na kahein jahaan mein amaan mili jo amaan mili to kahaan mili
Meray jurm haayey siyaah ko teray afw-e-banda nawaaz mein

Yoonaan-o-Misr-o-Rooma sab mit gaye jahaan se

Yoonaan-o-Misr-o-Rooma sab mit gaye jahaan se
Ab tak magar hai baaqi naam-o-nishaan hamaara

Apni dunia aap paida ker agar zindon mein hai


Apni dunia aap paida ker agar zindon mein hai
Sir-e-adam hai zameer kun fikan hai zindagi...

ye dastuur-e-zabaan-bandi hai kaisi teri mahafil mein

ye dastuur-e-zabaan-bandi hai kaisi teri mahafil mein
yahaan to baat karane ko tarasti hai zabaan meri

Na bacha bacha k rakh isey tera aaina hai wo aaina

Na bacha bacha k rakh isey tera aaina hai wo aaina
K shikasta hai to azeez tar hai nigah-e-aaina saaz mein...!!!

Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko

Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko
Baat karney ka saleeqa nahi naadaanon ko

nahi mumkin tujhe kitab se feraagh ke tu

nahi mumkin tujhe kitab se feraagh ke tu
kitab khuwan hai, magar saahib-e-kitab nahi

Khuda tujhe kisi toofaan se aashnaa kar dey
ke tere behr ki mojon mein izteraab nahi

Iqbal Tere Ishq Ne Sab Bal Diye Nikal

Iqbal Tere Ishq Ne Sab Bal Diye Nikal
Barson Se Arzu Thi K Sidha Kare Koi

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Jo Qalb Ko Garma Dey Jo Rooh Ko Tadpa Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Phir Vadi-e-faran Ke ,har Zarray Ko Chamka Dey
Phir Shok-e-tamasha Dey Phir Zoq-e-taqaza Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Mehroom-e-tamasha Ko Phir Deeda-e-beena Dey
Dekha Hai Jo Kuch Main Nay Aoron Ko Bhi Dikhla Dey
Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Batkay Huay Aahoo Ko Phir Soyay Haram Lay Chal
Is Shehr Kay Khogar Ko Visatay Sehra Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Paida Dilay Verran May Phir Shorish Mehsher Kar
Is Mahfile Khali Ko Phir Shahiday Laila Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Is Daur Ki Zulmat Main Har Qalb-e-pareshan Ko
Woh Daag-e-mohabbat Dey Jo Chaand Ko Sharma Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Rifat Maqasid Ko Hum Rosh Zulakha Kar
Khudaryay Sahil Day Aazadiyay Darya Day

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Bay Los Mohobat Ho Bay Baak Sadaqat Ho
Senu May Ujala Kar Dil Surati Mina Dey

Ya Rab Dil-e-muslim Ko Woh Zinda Tamanna Dey
Jo Qalb Ko Garma Dey Jo Rooh Ko Tadpa Dey

Thay tau aaba who tumhaare hi magar tum kya ho

Thay tau aaba who tumhaare hi magar tum kya ho?
Haath par haath dhare muntezir-e-farda ho!

Kya kaha? "bahr-e-musalmaan hai faqt waade-e-hur,"
Shikwa beja bhi kare koi tau laazim hai shaoor!

Adl hai faatir-e-hasti ka azal se dastur,
Muslim aaeen hua kafir tau mile hur-o-qasur

Tujhe aaba se apne koi nisbat ho nahin sakti

Tujhe aaba se apne koi nisbat ho nahin sakti
K tu guftaar wo kirdaar tu sabit wo sayara..!!!

Kabhi aye naujawaan Muslim tadabbur bhi kiya tu ney

Kabhi aye naujawaan Muslim tadabbur bhi kiya tu ney
Wo kya gardoon thay tu jis ka hai ek TooTa huwa taara

Fatima! Tu Abroo-e-Ummat-e-Marhoom Hai

Fatima! Tu Abroo-e-Ummat-e-Marhoom Hai
Zarra Zarra Teri Musht-e-Khak Ka Masoom Hai
Ye Sa’adat, Hoor-e-Sehrayi! Teri Qismat Mein thi
Ghaziyan-e-Deen Ki Saqqayi Teri Qismat Mein thi
Ye Jihad Allah Ke Raste Mein Be-Taegh-o-Sipar
Hai Jasarat Afreen Shauq-e-Shahadat Kis Qaddar
Ye Kali Bhi Iss Gulistan-e-Khazan Manzar Mein Thi
Aesi Chingari Bhi Ya Rab, Apni Khakstar Mein Thi
Apne Sehra Mein Bohat Aahu Abhi Poshida Hain
Bijliyan Barse Huway Badal Mein Bhi Khawabida Hain!
Fatima! Go Shabnam Afshan Ankh Tere Gham Mein Hai
Naghma-e-Ishrat Bhi Apne Nala-e-Matam Mein Hai
Raqs Teri Khak Ka Kitna Nishat Angaiz Hai
Zarra Zarra Zindagi Ke Souz Se Labraiz Hai
Hai Koi Hangama Teri Turbat-e-Khamosh Mein
Pal Rahi Hai Aik Qoum-e-Taza Iss Aghosh Mein
Bekhabar Hun Gharche Un Ki Wusaat Se Mein
Afreenash Dekhta Hun Un Ki Iss Marqad Se Mein
Taza Anjum Ka Faza’ay Asman Mein Hai Zahoor
Didah’ay Insan Se Na-Mehram Hai Jin Ki Mouj-e-Noor
Jo Abhi Ubhre Hain Zulmat Khana’ay Ayyam Se
Jin Ki Zou Na Ashna Hai Qaid-e-Subah-o-Sham Se
Jin Ki Tabani Mein Andaz-e-Kuhan Bhi, Nau Bhi Hai
Aur Tere Koukab-e-Taqdeer Ka Parto Bhi Hai

sakhtiyan karta hoon dil par gair se gafil hoon main

sakhtiyan karta hoon dil par gair se gafil hoon main
hai kya achi kahi zalim hoon main jahil hoon main

Phool ki patti se kat sakta hai heeray ka jigar

Phool ki patti se kat sakta hai heeray ka jigar
Mard-e-naadaan par kalaam-e-naram o naazuk bay-asar

Ye zayireen-e-hareem-e-maghrib hazaar

Ye zayireen-e-hareem-e-maghrib hazaar rehbar banein hamaare
Hamein bhala un se waasta kya jo tujh se na aashna rahey hain

Mubtilaa-e-dard koyi azwoo ho roti hai aankh


Mubtilaa-e-dard koyi azwoo ho roti hai aankh
Kis qadar hamdard saare jism ki hoti hai aankh

Agar ho ishq to hai kufar bhi musulmaani

Agar ho ishq to hai kufar bhi musulmaani
Na ho to mard-e-musulmaan bhi kaafir o zandeeq

wo pyari pyari surat wo kamini si murat

wo pyari pyari surat wo kamini si murat
abad jis k dam se tha mera ashiyana

mumkin hai ke tu jis ko samajhata hai bahaaraan

mumkin hai ke tu jis ko samajhata hai bahaaraan
auron ki nigaahon mein wo mausam ho Khizaan kaa

Raah mohabbat mein hai kaun kisi ka rafeeq

Raah mohabbat mein hai kaun kisi ka rafeeq
Saath meray rah gayee aik meri aarzoo

nahi hai naa-umeed Iqbal apni kisht-e-wiraan se

nahi hai naa-umeed Iqbal apni kisht-e-wiraan se
zaraa nam ho to ye mitti barhi zarkheiz hai saaqi

mashriq se ho be_zaar na maghrib se hazar kar

mashriq se ho be_zaar na maghrib se hazar kar
fitrat kaa ishaara hai ke har shab ko sahar kar

mazhab koi lauta le aur uski jagah de-de

mazhab koi lauta le aur uski jagah de-de
tahzeeb saleeqe ki insaan qareene ke

nawaa ko kartaa hai mauj-e-nafas se zahr aalood

nawaa ko kartaa hai mauj-e-nafas se zahr aalood
woh nai_nawaaz ke jis kaa zameer paak nahi

Mita do apni hasti agar kuch martaba chahiye

Mita do apni hasti agar kuch martaba chahiye
K dana khaak mein mil ker gul-e-gulzaar hota hai..!!

Iqbaal ka taraana baang-e-dara hai goya

Iqbaal ka taraana baang-e-dara hai goya
Hota hai jaada paimaa phir kaarwaan hamaara

is daur mein sab mit jayenge han baqi wo rah jayega

is daur mein sab mit jayenge han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai aur pakka apni hat ka hai

hodi ko ker buland itna k her taqdeer say pahly

hodi ko ker buland itna k her taqdeer say pahly
khuda bandy say khud pochay bata teri raza kiya hai

kya kahun apnay chaman se main juda kyun kar howa

kya kahun apnay chaman se main juda kyun kar howa
aur aseer e halqa e daam e hawa kyun kar howa

gulzar-e-hast-o-bu na beganawar dekh

gulzar-e-hast-o-bu na beganawar dekh
hai dekhne ki chiz ise bar bar dekh

aya hai to jahan mein misal-e-sharar dekh
dam de najaye hasti-e-napayedar dekh

Kabhi ae haqiqat-e-muntazir nazar aa


Kabhi ae haqiqat-e-muntazir nazar aa libas-e-majaz mein
Ke hazaron sajde tarap rahe hain meri jabeen-e-niyaz mein

Phala phula rahe ye Rabb chaman meri umeedon ka

Phala phula rahe ye Rabb chaman meri umeedon ka
Jigar ka khoon de de kar ye boote mene paale hain

Wednesday, January 18, 2012

Main Apne Aap Ko kahin Adhura Sa Mehsoos karta Hoon


Main Apne Aap Ko kahin Adhura Sa Mehsoos karta Hoon
Na jane Kon Chor Gaya Hai Mujhe Tameer Karte Karte

zalzalay younhi Besabab nahi atay


zalzalay younhi Besabab nahi atay 
Faraz
Koi dewana tah-e-khak tarapta hoga...

Mere marney Per Kisi Ko Ziyada farq na Hoga


Mere marney Per Kisi Ko Ziyada farq na Hoga
Bus Ek Tanhai Roye Gi k Mera humsafar Chala Gaya

Un ko Maloom Nahi jazba-e-Mohabat kya hai


Un ko Maloom Nahi jazba-e-Mohabat kya hai
"FARAZ"
Wo jo har baat pe kehtey hain Mohabbat ki Qasam

Rootha Tha Jis Gharoor Se Woh Bhi To Yaad Kar


Rootha Tha Jis Gharoor Se Woh Bhi To Yaad Kar
Aankhoon Mein Teri Aaj Yeh Aanso Fazool Hain.!

main chup raha to maar de ga mera zameer


main chup raha to maar de ga mera zameer
gawahi di to adalaat mein maara jaon ga

Soochta hoon k main bana dalon


Soochta hon k main bana dalon
main Aik firka udaas loogon ka

Wo lafz dhoond raha tha laraztay honton se

Wo lafz dhoond raha tha laraztay honton se
Zaeef baap ne betay se baat karni thi

Uss Se Milte Hi Yeh Ehsas Huwa Tha Mujhko

Uss Se Milte Hi Yeh Ehsas Huwa Tha Mujhko
FARAZ
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga

maani na meri aik bhi Khud sar hai tu ay Dil

maani na meri aik bhi Khud sar hai tu ay Dil
Ab khud hi tarap mein to tera kuch nahi lagta

Daaman-e-Dil Se Lipat Jaatay Hain Yaad Ke Jugnu

Daaman-e-Dil Se Lipat Jaatay Hain Yaad Ke Jugnu
Log kuch Aise bi Hain JinKo Mein Kabhi Bhoola Hi Nahi

Mita do naam tak mera kitab-e-zindagi se tum

Mita do naam tak mera kitab-e-zindagi se tum
Magar pal pal rulaaye gi staaye gi, kami meri..!!

Hum ghalat thay chalo itna to maan laitay hain

Hum ghalat thay chalo itna to maan laitay hain
Kia wo shaks theek tha jo badal giya kareeb anay kay baad

Apni Zindagi Bhi Us Chand Ki Manid Hai

Apni Zindagi Bhi Us Chand Ki Manid Hai
Jo Khubsurat To Dekhta Hai Magar Hai Bohat Akela

Gulabon ko bhi Nahi aya Abhi Tak Is Tarhan Khilna

Gulabon ko bhi Nahi aya Abhi Tak Is Tarhan Khilna
Subha Ko Jis Tarhan Wo Neend Se Be'Daar Hata Hai

Bicharny ki aziyat ko Aagr tum jan'na chaho

Bicharny ki aziyat ko Aagr tum jan'na chaho
Tu kuch pal ko~ Zara saans apni rook lena
Tumhe'n mehsos ye hoga Bicharna maut jaisa hai....!

Gulaab khwaab dawaa ze-herr jaam kya kya hai

Gulaab khwaab dawaa ze-herr jaam kya kya hai
Main aa gaya hun bataa intizaam kya kya hai?

Bandh Rakha Hay Teri Yaad Ne Maazi Se Mujhe

Bandh Rakha Hay Teri Yaad Ne Maazi Se Mujhe
Warna Guzary Hoye Haalat Mein Kya Rakha Hay!

Rakha Jab Sajdy Mein Sar To ehsaas Howa



Rakha Jab Sajdy Mein Sar To ehsaas Howa


K Dilon Mein To Khuda Ko Basaya Hi Nahi Sajdy Mein Kis Ki Talash Hai

azaab-e-tishnagi se dar gayi hai

azaab-e-tishnagi se dar gayi hai
kahani mein mohabbat maar gayi hai

Wo Aksar bhool jane Ki Shikayat Mujhse Karti Hai

Wo Aksar bhool jane Ki Shikayat Mujhse Karti Hai
Mein jisko Yaad Rakhne K Siwa Kuch b nahi karta

Meri zindagi mein faqat Do hi kaam Na mumkin rahay

Meri zindagi mein faqat Do hi kaam Na mumkin rahay
Use paa lene ki tamanna Ya phir Use bhool janay ki khawaish

kaho us sa ka ayay hum sa maslahat kar lain

kaho us sa ka ayay hum sa maslahat kar lain
humain mahsoos hota hai hum us bin jee nahi saktay

Hum Ne Tu Ek He Shaks Par Chahat Khatam Kardi


Hum Ne Tu Ek He Shaks Par Chahat Khatam Kardi
Ab Mohabbat Kis Ko Kehte Hain Kuch Maloom Nahi

Sochte Hain Seekh lain Hum Bhi Berukhi karna

Sochte Hain Seekh lain Hum Bhi Berukhi karna
Sab ko Mohabbat Dete Dete hum ne apni Qadar Kho di

Na Jane Itni Mohabat kahan Se Aagai Hai Us K Liye

Na Jane Itni Mohabat kahan Se Aagai Hai Us K Liye
K Mera Dil b usKi Khatir Mujh se Rooth Jata Hai

Shikway Shikayaton ki Nahi Ye Zarf Zarf

Shikway Shikayaton ki Nahi Ye Zarf Zarf Ki Baat Hai
Tere Vehm_O_Gumaan Mein Bhi Ham Nahi Aur TU Lafz Lafz Hamain Yaad Hai

Khushiyan humare paas kahan mustaqil rahin

Khushiyan humare paas kahan mustaqil rahin
Bahar kabhi hanse to Ghar Aa ke ro pare

Ik mehfil main kai mehfilain hoti hain shareek

Ik mehfil main kai mehfilain hoti hain shareek
Jisko bhi paas say dekho gay wo tanha ho ga

har ek se kahate hain ke "Daag" bewafa nikala

har ek se kahate hain ke "Daag" bewafa nikala
ye puuchhe in se koi wo Gulaam kis kaa thaa

tum bhi majabuur ho hum bhi majabuur hain

tum bhi majabuur ho hum bhi majabuur hain
be-wafaa kaun hai baa-wafa kaun hai

insaan apane aap mein majabuur hai bahut

insaan apane aap mein majabuur hai bahut
 koi nahi hai be-wafaa afsoos mat karo

ham baa-wafaa thay is liye nazaron se gir gaye

ham baa-wafaa thay is liye nazaron se gir gaye
 shaayad tumhein talaash kisi be-wafaa ki thi

her shab wo mere khabon mein chala aata hai

her shab wo mere khabon mein chala aata hai
faraz
khwahish hai jis sey mujhe haqiqat main milne ki

Widaa-e-yaar ka manzar FARAZ yaad nahi

Widaa-e-yaar ka manzar FARAZ yaad nahi
Bas ik doobta sooraj meri nazar main raha

Muhabbat ki haqiqat se hum khoob waqif thay

Muhabbat ki haqiqat se hum khoob waqif thay
Faraz
Younhi zara sa shoq hua tha DiL Barbaad Karne ka

Ye soch liya hai k ab usko awaaz nahi deni

Ye soch liya hai k ab usko awaaz nahi deni
Faraz..
Ab k main b dekhon wo mera talbgar kitna hai

Bus woh shaks acha Laga ussey saaf Keh dala humne

Bus Woh ShakS Acha Laga Ussey Saaf Keh Dala Humne
  "FARAZ"
Dil Ki Baat Hai Humse Munafqat Na Ho Saki.!

AiK KhaliSh ab Bhi MuJhey Baichein Karti Hai

AiK KhaliSh ab Bhi MuJhey Baichein Karti Hai
  "Faraz"
Sun K Meri Marne Ki Khabar Wo Roya Kyun Tha.!

Tujh se bichar ke bachpan ka yeh bhaid khula

Tujh se bichar ke bachpan ka yeh bhaid khula
Kiyun likhta tha main pairoon pe"tanha tanha

Jab khizan aye gi to laut aye ga wo bhi

Jab khizan aye gi to laut aye ga wo bhi
"Faraz"
wo baharon mein zara kam he nikla karta hai

Jis ko bhi chahaa use shiddat se chaahaa hai

Jis ko bhi chahaa use shiddat se chaahaa hai
Faraz
Silsilaa tuta nahi dard ki zanjir ka

aaj dil khol ke roye hain to yun Khush hai

aaj dil khol ke roye hain to yun Khush hai
'Faraz'
chand lamhon ki ye raahat bhi bari ho jaise

Hijr Ki Raat Bohat Lambi Hai

Hijr Ki Raat Bohat Lambi Hai  
Faraz
Aao Uski Yaad Mein Thak K So Jaein

Tum Taluq torney Ka Kahin Zikar Na Karna

Tum Taluq torney Ka Kahin Zikar Na Karna 
Faraz
Main Logon Se Kehdonga K usey Fursat Nahi Milti....!

Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha

Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha 
Faraz
Mere Seenay Main Ussi Shaakh Ka Kaanta Utra..!!

Hum Na Badlein gay waqt ki raftaar kay sath

Hum Na Badlein gay waqt ki raftaar kay sath  
Faraz
Hum jab b milen gay andaz purana hoga..

ik shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikar

ik shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikar 
faraz.
kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi...

Mujhe ghuroob na jano jo main ufaq pay nahi

Mujhe ghuroob na jano jo main ufaq pay nahi
faraz
Bikher gaya hoon andheron main kehkasha ki tarah...

Kaha us ney k tum tabeer ho aur khawb sa hoon mein

Kaha us ney k tum tabeer ho aur khawb sa hoon mein
Ho tum baykhawb muddat sey,azal sey jaagta hon mein

Jo poocha, dil ka soda kab kia,kaisay kia tum ney?
Woh bola ayk pal thahro,yahi tu sochta hon main

Jo mein ney dasht mein ja kar pukara hai KHUDA koi?
Tu har zar'ra pukar uttha k us ko janta hon mein

Bhala us dar pay ja kar kis lye khaali palat aaye?
Kaha,manzil ko choo kar bhi laga ik raasta hon mein

Abhi socha hi tha,dhoondoon ufaq k paar ka rasta
Tu dil bola,mera socho kabhi ka LA'PATA hoon mein

Hawa boli samandar sey,tera bhi koi bichra hai ?
Kaha,ja ja kay saahil par ussi ko dhoondta hoon mein

Saturday, January 7, 2012

Aadawton ka jawab likho na chahton ka hisaab likho


Aadawton ka jawab likho na chahton ka hisaab likho
Ju dukh hain unko gulaab likho, ju sukh hain un ko saraab likho

ju aaj dushman hain kal the saathi, ju aaj saathi woh kall the dushman
Zamana badla hay tum bhi badlo, munafqat ki kitab likho

Mere Khayalon k sare paiker,woh chand chahray woh phool lamhe
K jin ki tabeerain kho gayi hain,ab un hawalon ko khwab likho

Woh Guzray lamhe,woh behte aanso,woh jalte pehlo
Lahoo se zakhm e jigar k,meri wafa ka khooni baab likho

Rafaqton mein na sukoon mile ga,judaiyoun mein bhi dukh mile ga
Na paas aao,na door jaao,na roz o shab ka nisaab likho

Wafa,muhabbat,ana pasandi o beniaazi ka zoum
Ju mere dil pe guzer rahi hain,qayamton ka azaab likho

ye jo nang thay ye jo naam thay mujhey kha gaye

ye jo nang thay ye jo naam thay mujhey kha gaye
ye khayal-e-pukh'ta jo khaam thay mujhey kha gaye

kabhi apni aankh se zindagi pe nazar na ki
wohi zaawiye ke jo aam thay mujhey kha gaye

mein ameeq tha ke pala hua tha sakoot mein
ye jo log mehv-e-kalam thay mujhey kha gaye

wo jo mujh mei aik ikaayi thi wo na jurr saki
yehi reza reza jo kaam thay mujhey kha gaye

ye aeyaan jo aab-e-hayat hai isey kiya kerun
ke neyhaan jo zehar ke jaam thay mujhey kha gaye

wo nageen jo khaatim-e-zindagi se phisal gaya
tu wohi jo merey ghulaam thay mujhey kha gaye

mein wo shu'la tha jisey daam se tu z'rur na tha
pe jo waswasay teh-e-daam thay mujhey kha gaye


jo khuli khuli thein adawatein mujhe raas thein
ye jo zehar-khand salaam thay mujhe kha gaye

jawaan ghunchon ko batlaa'o muhabbat maar deti hai


jawaan ghunchon ko batlaa'o muhabbat maar deti hai
payaam e zeest phailaa'o, muHabbat maar deti hai

sabaq ta'leem karte ho to mat bhoolo, paRhaana hai
muHabbat tark farmaa'o, muHabbat maar deti hai

bohat laila, bohat majnooN hu'e nazr e wafa aaKHir
nah yeh sartaan phailaa'o, muHabbat maar deti hai

bohat dekhe mareez e 'ishq ham ne, ab taqaaza hai
tabeeb e 'ishq ban jaa'o, muHabbat maar deti hai

kisi ko 'ishq ki raahoN peh dekho gar to keh dena
sitam KHud par nah tum Dhaa'o, muHabbat maar deti hai

mujhe yaaraan e meHfil se payaam aata bhi hai to kya
yeh kehte haiN, "palaT aa'o, muHabbat maar deti hai"

musaafat se, rafaaqat se, yeh seekha wasl o furqat se
agar tum is se bach paa'o, muHabbat maar deti hai

woh kehte haiN keh "Monis 'ishq par kehte hi rehte ho"
"radeef ab is ko Thehraa'o, muHabbat maar deti hai"...!!!

mujhay ik baat kehni hai

mujhay ik baat kehni hai
jo tum hotay ho mujh se door
udasi ki siyaah chaaddar
na janay kis tarah, kiyunkar
mere sir per
kahin se aan girti hai

Kaha uss nein k tum ta’beer ho aur khuwab sa hon mein


Kaha uss nein k tum ta’beer ho aur khuwab sa hon mein
Ho tum bekhuwab muddat say , azal say jagta hon mein

Jo pocha dill ka soda kab kia ‘ kesay kia tum nein?
Wo bola ek pal thehroo yahi tu sochta hon mein

Jo mein nein dasht mein ja kar pukara ‘hay khuda koi ?
Tu har zarra pukar utha kay uss ko janta hon mein

Bhala uss dar pay ja kar kiss lye khali palat aye ?
Kaha ‘ manzil ko chook r bhi laga ik rasta hon mein

Abhi socha he tha dhondhoon ufaq kay par ka rasta
Tu dil bola ‘ mera socho ‘ kabhi ka laa pata hon mein

Hawa bolo samandar say ‘ tera bhi koi bichra hay ?
Kaha ‘ ja ja kay sahal par usi ko dhondhta hon mein

Aankh mein khwab nahi khwab ka saani bhi nahi

Aankh mein khwab nahi khwab ka saani bhi nahi
kunj e lab mein koi pehli si kahani bhi nahi

dhoondta phirta hun ik shehr e takhayyul mein tujhe
aur mere paas tere ghar ki nishaani bhi nahi

baat jo dil mein dharakti hai muhabbat ki tarha
us se kehni bhi nahi us se chupaani bhi nahi

aankh bhar neend mein kya khwab samaitain k abhi
chaandni raat nahi, raat ki rani bhi nahi


lailai husn zara daikh tere dasht nazaad
sar basar khak hain aur khak uraani bhi nahi

kachay eendhan mein sulagna hai aur is shart k saath
tez karni bhi nahi aag bujhani bhi nahi

ab to yun hai k tere hijr mein ronay k liye
aankh mein khoon to kya khoon sa paani bhi nahi.

muhabbat main kabhi dau raye ka imkaan nahin hota

muhabbat main kabhi dau raye ka imkaan nahin hota
ye hoti hai tau hoti hai
nahin hoti tau jitna bhi jatan kar lau nahin hoti

koi acha agar lag jaye tau sub khaamiyaan us ki
achanak . . . khoobiyon ki aurhni main chup si jati hain
zamana lakh samjhaye, sambhal jao
wo aisa hai, wo waisa hai
samajh main kuch nahin aata
sama’at aur basarat ko sujhaai kuch nahin deta
samajh aata hai us lamhay
ke jab daman main lakhoun chaid ho jayen
kabootar ke paroon ke saath liptay sub ayaan jab bhaid ho jayen

muhabbat main kabhi dau raye ka imkaan nahin hota
ye hoti hai tau hoti hai
nahin hoti tau jitna bhi jatan kar lau nahin hoti

Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai


Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..?
Har taraf khalq ne kiyun shor macha rakha hai,
Roshni din ki wohi,
Taron bhari rat wohi,
Aaj hum ko nazar aati hai har bat wohi,
Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen,
Aik hindse ka badalna koi jiddat to nahi,
Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere,
Kise maloom nahi 12 maheene tere,
Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein,
Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein,
Tu naya hai to dikha subha nai, sham nai
Warna in aankhon ne deikhe hain naye saal kai…

Jhooti Tohmat Hi Sahi Daman e Yousaf Pe Magar


Jhooti Tohmat Hi Sahi Daman e Yousaf Pe Magar
Misar Mein Ab Bhi Zulaikha Ki Suni Jati Hai

Dil mera Misar ka bazaar b ho sakta hai

Dil mera Misar ka bazaar b ho sakta hai
Koi dharkan ka khareedaar b ho sakta hai

Koi ho sakta hai kaatil b saf-e-yaaraan mein
Koi humdard sar-e-daar b ho sakta hai

Ab talk ashk girra krtay thay tanhai mein
Ye tamasha sar-e-bazar b ho sakta hai

Mujh pe ta'anay na kasso muj ko pagal na samjho
Main b insaan hun mujhy pyaar b ho sakta hai

Un ki chaokhat pe "M0HSIN" jana hai ab thaam le dil
Wahan iqraar b inkaar b ho sakta hai

Khizaan Ki Gard main Ya Mosam-e-Bahar main Hoon


Khizaan Ki Gard main Ya Mosam-e-Bahar main Hoon
Ye kaisa Mor Hai main Kis K Intazar main Hoon

Shab-e- Sayah main Bhala koi Sath Kia Daita
Main Be charag Musafar Hon or Ghubar main Hoon

Mera Shaouar Behalta Nahi Hai Lafzon Se
Main Tare Khat k Nahi Tare Intazar main Hoon

Badan main Roshani Khushboo K Sath ayi Hai
Main Tare Khwab main ya Mosam-e-Bahar main Hoon

Kisi se Koi Gilla Hai Na Khush Gumani-e-Dil
Kai Dinoon se Ajab Tarha K Fashar main Hoon

Aa mayray pyaar ki khushboo

Aa mayray pyaar ki khushboo
Aa mayray pyaar ki khushboo
Aa mayray pyaar ki khushboo

Manzil pe tujhay pohanchaaye
Aa mayray pyaar ki khushboo

Chalta chal hamraahi
Mayree zulf kay saaye saaye
Aa mayray pyaar ki khushboo
Aa mayray pyaar ki khushboo

Suraj ki tarha main chamkoun
Par mujh mein dhoop nahi hai
Mujh mein dhoop nahi...
Jo shola ban kar lapkay
Mayra aisa roop nahi hai
Mayra aisa roop nahi...
Jo nazroun ko jhulsaaye
Aa mayray pyaar ki khushboo
Aa mayray pyaar ki khushboo
Aa mayray pyaar ki khushboo

Main raat ki aankh ka taara
Find More lyrics at www.sweetslyrics.com
Main noor ka roshan dhaara
Main jaagoun raat kay dil mein
Jub so jaaye jug saara
so jaye jag saara...
Tab tayree yaad aa jaaye
Aa mayray pyaar ki khushboo
Aa mayray pyaar ki khushboo
Aa mayray pyaar ki khushboo

Tu sunta sirf mujhee ko
Pehchaan tujhay gar hotee
Pehchaan tujhay gar hotee...
Insaaf say tu khudh kehta
Keh kankar hai yeh motee
Kankar hai yeh motee...
Mayra pyaar tujhay samjhaaye
Aa mayray pyaar ki khushboo
Aa mayray pyaar ki khushboo

Manzil peh tujhay pohanchaaye
Aa mayray pyaar ki khushboo
Aa mayray pyaar ki khushboo

Yunhi khiza'n ka roop suhana laga mujey


Yunhi khiza'n ka roop suhana laga mujey
harr phool fasl e gul mai purana laga mujhey

mai kya kisi pe sang utthaney ki sochta
apna hee jism aaina khana laga mujhey

ai dost jhoot aam tha dunya mai iss qadar
tuney bhi sach kaha to fasana laga mujhey

abb usko kho raha hoo'n barhey ishtiyaq se
wo jisko dhundhne mai zamana laga mujhey

Mohsin hujum e yaas mai marne ka shok bhi
jiney ka ik haseen bahana laga mujhey

Meri jaan tum se apna aap pyara koun kerta hay

Meri jaan tum se apna aap pyara koun kerta hay
Marz dene lage taskeen tou chara koun kerta hay

kayi gumnaam khushian phoot'ti hain raat bher dil mein
Na jane khwab mein aa ker ishara koun kerta hay

Kabhi socha nahin tum ne k tum ko aik muddat se
Samay ki oot mein chup ker pukara koun kerta hay

Abhi tou mil k chalte hain samander ki musafat ko
Phir us k baad dekhain gaye kinara koun kerta hay

Ghata'ayen koun lata hay meri ankhon k mousam mein
Phir us k baad barish ka nazara koun kerta hay

Sulag raha hon main dhere dhere


Sulag raha hon main dhere dhere,magar kise par ayan nahi hai
wo aag dil main lagi hai jis main tapish hai lekin dhoan nahi hai

tumhare gham ne sikha diya hai mujhe har ek gham se piyar karna
gham-e-jahan bhe yaqen mano mizaj-e-dil par giran nahi hai

khuda ki basti main har qadam par koe hai gir'yan kise k gham main
ye dard tu dard-e-mushtarik hai ye aankh purnum kahan nahi hai?

mtaa-e-umar-e-azeez sari ganwa choke par safar hai jari
ajeeb souda hai aashqi kar k fikr-e-sood-o-zyan nahi hai

meri khamoshi pe hansne walon ye bhool kar bhe na sooch lena
k mere pehlo main dil nahi hai k mere moonh main zuban nahi hai

Jane kyun pairahan pe dhool na thi

Jane kyun pairahan pe dhool na thi
Yeh musafat to be husool na thi


Jazba E dil ko kab pata tha use
Itni waraftagi qubool na thi


Meri chahat meN sard waQfe the
Bewafaayi teri fazool na thi


Dukh hua, jab wo meri haalat par
Dil giraftaa na thi, malool na thi


Maut dhoke se le gayi jaan ko
Zindagi bhi to ba usool na thi....!!!!

Bohat koshish kare lakin Musafir aa nahin sakta


Bohat koshish kare lakin
Musafir aa nahin sakta
Koi phir rok laita hai,
Usey wapis palatney se,
Faqat mur kar hi takney se,
Or us ka muntazir lamha,
Kai sadiyon, kai janmon se,
Us ka muntazir lamha,
Bil'aakhir beet jata hai,
Muqaddar jeet jata hai.

Muhabbat Is Tarah Jaise Titliyon K Par

Muhabbat Is Tarah Jaise Titliyon K Par
Muhabbat Zindgani Ki Jabeen-e-Naz Ka Jhoomar,
Muhabbat Aarzoo Ki Seep Ka Anmol Sa Gohar,
Muhabbat Aas Ki Dhoop Mein Umeed Ki Chadar,
Muhabbat Hai Tere Gaisu,
Teri Palkein,
Teri Aankhein,
Muhabbat Hai Teri Baatein,
Muhabbat Hai Tumhari Hijr Ki Aur Wisal Ki Raatein,
Muhabbat Hai Teri Dharkan,
Muhabbat hai Teri Saansein,
Muhabbat Hai Teri Khamoshi,
Tumhari Baat Jaisii Hai,
Muhabbat Ko Aagar Samajho,
Muhabbat Tumhari Zaat Jaisii Haiii..!!!!

meri hasraton ko zuban de

meri hasraton ko zuban de
meri wehshaton se kalam kar
mein tera adhora sawal hon
mujhay apne man main qayam kar
mujhay aisa koi jawab de
ke sunay tu bagh-0-bahar ho
meri hasraton kay dayar main
teri arzoo tera pyaar ho
main udasiyon main palee bhari
mujhay mil saki na koi kushi
kahan kho gay kahan dhoondh lon
tujhay ae zindigi meri zindigi..!!

Na janay kitne dard dekhe hain

Na janay kitne dard dekhe hain
samandaron mein ashk dekhe hain

chandni rat-jagon mein ghultay
yaadon kay raqqs dekhe hain

gham-e-doran mein lazatein payin
qehqahon mein dasht dekhe hain

mail-jol, na maraasim koee
humne aise bhi rabt dekhe hain

lab khaamosh , magar alfaaz
ankho mein naqsh dekhe hain

aasmani chanchal rungo ke bas
paaniyon mien aks dekhe hain

char-deewari mein rihaai aur
khuli fizaon mein habs dekhe hain....!!!!

Hui hain mohtaaj khuwaahishein kaisi

Hui hain mohtaaj khuwaahishein kaisi
Barsi hain hasraton ki baarishein kaisi

Andheron ke ho kar reh gaye hain hum
Waqt nay kee hain saazishein kaisi

Palko pe khwaabon ki inayatein kaisi
Ab kay hain dard se rafaqatein kaisi

Bas mein nahi gar taqdeer badalna
Phir shikayatein kia adaawatein kaisi

Woh judaa reh kar khush hai agar-che
To laut aanay ki khushaamadein kaisi

Barasti thein ankho se chaahatein kaisi
Ab ke thein lehje mein banawatein kaisi

Thami hai zindugee ek hi dehleez par
Bicherr jaayen raahi to musafatein kaisi....!!!!

Wo Kehti Hai Sitaaray Aansuon Main Kyun Chamaktay Hain

Wo Kehti Hai Sitaaray Aansuon Main Kyun Chamaktay Hain.....
Main Kehta Hoon Muhabbat Aansuon Main Rang Bherti Hai !
 Wo Kehti Hai Tumhaaray Baad Baarish Kyun Naheen Hoti....
Main Kehta Hoon Meri Jaan Hijr Sehraaon Main Rehta Hai !
Wo Boli Nain Kuch Kehtay Huay Akser Jhijaktay Hain........
Main Bola Dil Main Baithay Chor Ko Rasta Naheen Milta !
Wo Boli Sardion Main Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi......
Main Bola Tum Nay Meray Lams Ki Shiddat Naheen Dekhi !
Wo Boli Dard Kay Us Paar Bhi Ik Dard Hota Hai........
Main Us Kay Baad Kitnee Deir Tak Kuch Bhi Naheen Bola !

Ye jo hum safar mein bhi ghar saa ek banatay hain

Ye jo hum safar mein bhi ghar saa ek banatay hain
Reit ke samandar mein kashtiyaan chalatey hain

Abb ke kis tarhaan ka ye mausam-e-visaal aaya
Titliyoun ke haathon se rangg urtey jatey hain

Jin pey faakhtaaon ke geet phool buntey hoon
Aaao ! un darakhton per naam likh ke aatey hain

Pehley saath chalney sey dil ko khauff aata thaa
Aur abb bicharney ke wasvasey daratey hain

Us ke laut aaney ka khwab dekhtii aankehin
Shaam sey dareechey mein rakh ke baith jatey hain

Us taraf samandar ke khaufnaak taiwer hain
Aur hum ghaarondon mein seepiyaan sajatey hain

Vehshaatoon ke sehraa mein kaun ye bataey gaa
Kis ko yaad rakhtey hain kis ko bhool jatey hain..!!!

Mari Zindagi Hai Wo


Mari Zindagi Hai Wo...!!!

Mujhey lagta hai aisa kabhi kabhi
Jaisy woh ajnabi larki
Mujh sey pyar karti hai
Mujhey chahti hai

Akser yunhi chup chup ker
Dekhti hai, janey kiya sooch ker
Nazrein chura jati hai
Kuch ghabra si jati hai

Apney aanchal ko hawaoon k zoor
per lehrati hai
Mehsoos mujhey yeh hota hai k
Shayad mujhey woh bohat chahti hai

Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay
Woh mujh sey kuch kehna chahti hai
Meray pochnay per kuch sharma si jati hai
Kuch ghabra si jati hai

Suniyey" keh kar bhaag jati hai
Ajnabi larki shayad pyaar karti hai MIR sey
Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey
Dil bhi kitna pagal hai
Kiya kiya sochta rehta hai

Kuch masoom sey jazbey hain
Kuch undekhey sapney hain
Mager woh nahin janti .!!!
 Meri Zindagi Hai Wo......
_________________

Agar tum BAA'WAFA hotay


Agar tum BAA'WAFA hotay,
Tou ham ney zindagi ka khawb takna tha,
Muqadar sey zara takraar karni thi,
Zamanay ko kahaan khaatir mein laana tha?
Tumharay dil mein rahna tha,
Tumhein apna banana tha,
Chalo yeh farz kartay hein,
Agar tum baa'wafa hotay.....!!!

ek bas tuu hi nahi mujhse Khafa ho baitha

ek bas tuu hi nahi mujhse Khafa ho baitha
main ne jo sang taraashaa vo Khudaa ho baitha

uTh ke manzil hi agar aaye to shaayad kuch ho
shauq-e-manzil me mera aabalaapaa ho baitha

masalahat chhin gai quvat-e-guftar magar
kuch na kaha na hi meri sadaa ho baitha

shukriyaa ae mere qaatil ae masiihaa mere
zahar jo tune diyaa thaa wo davaa ho baitha

jaane 'Monis' ko main_jumlaa-e-aadaa paakar
huuk wo utthi ke ji tan se judaa ho baitha.

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai
Yah tou khawb hai,kisi aankh ka,
Jissay jaagnay ki saza mili,
Yeh jo chaand hai,yeh azaab hai,
Woh azaab,
jis ney mila dia hai gulaab lamhon ko khak mein,
Yeh jo chaand hai,yeh jawaab hai,
Kisi is tarah kay sawaal ka,
Kah jo aaj tak na utha kabhi kisi zahn mein,
Yeh jo chaand hai,
Yeh tou baab hai kisi dard ka,
Kisi hijr ka,kisi wasl ka,
Kisi zard zard si fasl ka,
Yeh takha thaka sa jo chaand hai,
Kabhi ban paray tou yeh is sey pooch k deykhna,
Issay gahri gahri si neend sey,
Bhala kis ney aa kay jaga dia?
Issay rog kis ney laga dia.....?

teri guftagu mein hai jo chashni jo tere labon mein halawatein

teri guftagu mein hai jo chashni jo tere labon mein halawatein
na surur wo fasl-e-bahar mein na gulon mein latafatein

kahan reh gain teri nighaten wo saba kidhar ko nikal gai
teri ahaton ko taras gain mere jism-o-jan ki samatein

tere ang ang main loch hai mere dil k soz-o-gadaz ka
mere khoon-e-dil se raqam huin tere rang-o-bu ki hikayatein

meri chashm-e-ghum dil-e-muztarib ghum-e-arazu ghum-e-justaju
liye phir raha hun nagar nagar kisi mehraban ki amanatein.....!!!!

kiya tha zara si dair main kya ho gaya koi

kiya tha zara si dair main kya ho gaya koi
do din juda raha tu naya ho gaya koi

wo bhi mujhe aziz tha main bhi usey aziz
phir jane kiya howa k khafa ho gaya koi

meri nazar nay us ko khad-o khaal dey deye
zehra jamaal-e sheh'r-e saba ho gaya koi

mehfil main tha tu chaand ki sourat sabeh tha
tanha mila tu rung-e hina ho gaya koi

is khush ada guraiz k qurbaan jaeye
mujh ko salam kar k hawa ho gaya koi

ilzaam hum pe aya hum musta'id na they
jab bhi kisi ka teer khata ho gaya koi

mujh jaise be-nawa ko nawaza ba-sad kholoos
yoon bhi bara tha aur bara ho gaya koi

meri rooh aazaadi chahti hai

meri rooh aazaadi chahti hai!!!

jism ka zindaan tang hota ja raha hey
her suu rasmoo’n ki dewaarein uuth rahi hein!
lehza ba lehza!!!

yaa’n maayusi ka ghata toup andhera…
khud gharzi ki badboo daar fiza hey,

kaheen nafs ki aadam khour baelein uug rahi hein…
aur kaheen hawas ki daldal …
baa’nhein kholey baethhi hey,

khawhishein!!!
aur khawhishoo’n ki khawhish mey saazishein!!
khud rou poudoo’n ki maanind panap rahein hein,

zindagi bhi maut key paerahan mey dikhti hey
aur din ka uujalaa raat key libaadey mey aata hey,

nafratoo’n key aatish daa’n bhadak rahey hein…
chahat ka her phool jis mey jal raha hey,

aur ab!!!
bas Kaatib-e-taqdeer sey ik aur berbaadi chahti hey..

meray jism k zindaan sey…
meri rooh aazaadi chahti hey!!!

Ashk girtay hain meri saans sambhal jati hai

Ashk girtay hain meri saans sambhal jati hai
de k ik dard naya shaam nikal jati hai

us ko deakhon to mere dard ko milta hai sukoon
us se bichroun to meri jaan nikal jati hai

ishq kuch aisey mitata hay nishaan e hasti
jaisey har raat ujaalay ko nigal jati hai

zakham bharta he nahi us ki judai ka magar
phir us ki yaad naya dard ugal jati hai

wo agar dil pe mere haath he rakh de Mohsin"
toot"ti saans bhi kuch dair sambhal jati hai....!!!!

meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe chahiye


meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe chahiye
jo sarab ho'n naa azaab ho'n woh rafaqtain mujhe chahiye

unhain sama-ato'n ki talaash hain jo calendaro'n sey utar gayain
jo samay k saath guzar gayain wohi fursatain mujhe chahiye

kahin mil sakai'n to samait laa, meray roz o shab ki kahaniya'n
jo ghubaar e waqt mein chup gayain wohi hakaaytai;n mujhe cahiye

jo meri shabo'n k chirag thay jo meri umeed k baagh thay
wohi loug hain meri aarzoo. wohi sooratai'n mujhe chahiye

teri qurbatai'n nahin chahiye meri shayri k mizaaj ko
mujhe faasilo'n sey dawam dein teri qurbatai'n mujhe chahiye

mujhe aur kuch nahin chahiye yeh duaai'n hain meri saibaa'n
karri dhoop mein mujhe mil sakain wohi chhtayai'n mujhe chahiye....!!!!

Rahat e dil mata e jaan hay tu

Rahat e dil mata e jaan hay tu
Aye gham e dost jawedaan hay tu

Aansoun par bhi tera saya hay
Dhoop k sar pe saibaan hay tu

Dil teri dastaras main kyoun na rahay
Is zameen par to aasmaan hay tu

Shaam e sheher udaas k wali!
Aye mere meherbaan kaha hay tu?

Saya e abr e raigaan hoon main
Mouj e beher e bekaraan hay tu

Main tahe dast wa gard perahan
Laal o almas ki dukaan hay tu

Lamha bhar mil k roothnay walay
Zindagi bhar ki dastaan hay tu

Kufr o emaan k fasloun ki qasam
Aye mata e yaqeen gumaan hay tu

Tera iqraar hay nafi meri
Mere asbaat ka jahaan hay tu

Jo muqaddar sanwaar detay hain!
Un sitaroun ki kehkashan hay tu

Be nishaan be nishaan khayaam mere
Karvaan karvaan rawaan hay tu

Jaltay rehna chiraagh aakhr e shab
Apne mohsin ka raazdaan hay tu....!!!!

Ab yeh sochoon tu bhanwar zehan mein par jaatay hain

Ab yeh sochoon tu bhanwar zehan mein par jaatay hain
Kaise chehray hain jo miltay hi bichar jaatay hain

Kyon tere dard ko dain tuhmmat-e-weeraani-e-dil
Zal'zalloon mein tu bharrray shehar bhi ujjar jaatay hain

Muasam-e-zard mein ek dil ko bachaoon kaise
Aisi rutt mein tu ghannay pairhh bhi jhar jaatay hain

Ab kya koi mere kadmoon ke nishaan dhoondheyga
Taiz aandhi mein tu khaimay bhi ukkhar jaatay hain

Shiddat-e-ghum mein bhi zinda hoon tu hairat kaisi
Kuch deye tu tund hawaoon se bhi larr jaatay hain

Woh bhi kya log hain Mohsin jo wafa ki khaatir
Khud tarasheeda asooloon pe bhi arrh jaatay hain...!!!

be minnat-e-Khizr-e-raah rahnaa

be minnat-e-Khizr-e-raah rahnaa
manzuur hameN tabaah rahnaa


yaaroN ko nasiib sar-faraazii
mujhko terii gard-e-raah rahnaa


dil aik ajiib ghar hai pyaare
is ghar meN bhii gaah-gaah rahnaa



gar yuNhii rahii diloN kii ranzisheN
mushkil hai baham nibaah rahnaa


bhar aayegii aaNkh bhii kisii din
Khaalii nahiiN sarf-e-aah rahnaa


“Nasir” ye vafaa nahiiN junuuN hai
apnaa bhii na Khair-Khvaah rahnaa...!!!

Such kahoon ga to saza dein gay tere shehar ke log

Such kahoon ga to saza dein gay tere shehar ke log
Mujhko sooli par charha deingay tere shehar ke log

Baaton baaton mein tera zikar kareingay mujhse
Youn zakhmon ko hawa deingay tere shehar ke log

Maine sadiyon mein hans'ney ka saleeqa seekha
Khabar na thi ke pal mein rula deingay tere shehar ke log

Main to shama hoon meri umar he kya hai Faraz
Subah hotey he bujha deingay tere shehar ke log....!!!

Tark e muhabbat kar baithe hum zabt e muhabbat aur bhi hai

Tark e muhabbat kar baithe hum zabt e muhabbat aur bhi hai
Ek Qyaamat beet chuki hai, ek Qyaamat aur bhi hai

Hum ne usi ke dard se apne saaNs ka rishta jor liya
Wana shahr me zindaa rahne ki ek surat aur bhi hai

Doobta suraj dekh ke khush rahna kis ko raas aaya
Din ka dukh sah jaane walo, raat ki wahshat aur bhi hai

Sirf rutoN ke saath badalte rahne par mauQoof nahi
Us me bach_choN jaisi zid karne ki aadat aur bhi hai

Meri bheegti palkoN par jab us ne donoN haath rakhe
Phir yeh bhed khula in ashkoN ki kuchh Qeemat aur bhi hai

Us ko gaNvakar ‘Mohsin’us ke dard ka Qarz chukaana hai
Ek aziyyat maaNd paRi hai, ek aziyyat aur bhi hai....!!

Nasihat roz bikti hai Aqeedat roz bikti hai

Nasihat roz bikti hai Aqeedat roz bikti hai
Tumharay sheher mai logon muhabat roz bikti hai,

Amir-e-sheher k dar ka abhi muhtaj hai Mazhab,
Abhi Mulla k fatwoon mai Shareyat roz bikti hai,
...
Hamare khoon ko bhi woh kisi din bech daly ga,
Kharedaron k jhurmat mai Adalat roz bikti hai,

Najanay Lutf kia milta hai in ko roz bikne mai,
tawaef ki tarah logon Qeyadat roz bikti hai,

Kabhi masjid k mimber pr kabhi hujre mai chup chup k,
Mere waaez k lehjay mai Qeyamat roz bikti hai,

Bari laachar hain Saqi jabenain in Gharebon ki,
k Majbori ki Mandi mai Ibadar roz bikti hai...!!!

Tum ho Key to dunya Sey Be-Zaar Kabhi Dekho

Tum ho Key to dunya Sey Be-Zaar Kabhi Dekho
AankhOn Mein Kabhi Utro Us Paar Kabhi Dekho

AaSOo Ki HaQeeqat tO hAi Zakham Sey Pe-WaSta
Ghao ROoh Pey tUm Kha Kar Kabhi Dekho

hOn Aankhien Jhaan dArd tO AanSOo hO Kahaanii
Aisi Bhi kOii dUnya Eik Baar Kabhi Dekho

Dil tOot Na Jaaye Ga Agar tUm jO Kabhi KhUd Ko
Aaiyena e dUnya Main Be-Kaar Kabhi Dekho

Dekho Gey Kabhi tUm Bhi Eik dOobtii Naao Ko
Saahil Pey Kharey hO Kar Eik Baar Kabhi Dekho

wO mUjh Sey Yeh Kehtey hAin ChOro Yeh Ajab Baatien
Jazbaat Ki Lughat Mein tUm Pyaar Kabhi Dekho

Parhtey jO Meri Aankhien tO Jaan Yeh Laitey wO
Kuch lOg Nahii Kartey Izhaar Kabhi Dekho

AurOn Kii Trah tUm Bhi bOlii Na Laga Daina
Bahir jO Meray Ghar Key Khareedar Kabhi Dekho

Is ShOr Mein tUm Meri Aawaaz Daba Daina
Agar lOg Samaa'at Sey Be-Zaar Kabhi Dekho

bOjhal jO Meri Aankhien Dekhien tO wO Kehtey hAin
tUm So Key tO Ab "Mohsin" Eik Baar Kabhi Dekho....!!!

Waqt Bhe Lafz Hai

Waqt Bhe Lafz Hai


Waqt Ka Saaz-o-Aahung Bhe

Rung Bhe Sung Bhe

Aman Bhe Jung Bhe

Lafz He Lafz Hain


Phool Bhe Lafz Hai

Dhool Bhe Lafz Hai

Lafz Qaatil Bhe Hai

Lafz Maqtool Bhe

Lafz He Khoon Baha

Lafz Dust-e-Dua

Lafz Arz-o-Sama



Subh-e-Fusl-e-Bahaaraan Bhe Ek Lafz Hai

Shaam-e-Hijer-e-Nigaaraan Bhe Ek Lafz Hai

Ronaq-e-Bazam-e-Yaaraan Bhe Ek Lafz Hai

Main Bhe Ek Lafz Hoon

Too Bhe Ek Lafz Hai

Aa K Lafzoon Ke Sorat

Fizaaon Main Mill Ker Bikher Jain Ham

Ek Naya Lafz Takhleeq Ker Jaain Ham

Aa K Mer Jaain Hamm...............!!!!!!!!

Bicharnay aur judai main zara sa fark hota hai

Bicharnay aur judai main
zara sa fark hota hai
Juda ho kar kisi se phir
kabi koi nahi milta

Bichar jain to milnay ka
koi imkaan rehta hay
Juda ho kar kisi ki yaad
dil main reh nahi sakti
bichar jain to dil main ik
diya jalta hi rehta hay

Juda ho kar kisi ka pyaar
dil main reh nahi sakta
bichar jain to dil main bus
usi ka pyar rehta hay

To phir aay hum sukhan meray
tu mera faisla sun lay
mujehn tum se bicharna hay
Juda tum se nahi hona .......!!

Kai barson se aisa hai

Kai barson se aisa hai .......
K ek weeraan rasta ......
Jo barson se .......
Humare beech haiyal hai ....
Anna k khoon mein lipti ......
Wo ek janib khari hai or ........
Anna k khoon mein lipta ........
Ussi weeraan raste k kinare .......
doosri janib na janay kitne barson se ........
Akela main khara hoon ..........

manzar hai wohi thathak rahi hoon

manzar hai wohi thathak rahi hoon
hairat se palak jhapak rahi hoon

ye tuu hai ke meraa vaham hai
band ankhon se tujh ko tak rahi hoon

jaise ke kabhi na thaa taarruf
yun milate hue jhijhak rahi hoon

pahachaan main terii roshani hoon
aur teri palak palak rahi hoon

kyaa chain milaa hai sar jo us ke
shaanon pe rakhe sisak rahi hoon

ik umr hui hai Khud se larte
ander se tamaam thak rahi hoon

mohabbat to janaa hoti hai do kay dermian

mohabbat to janaa
hoti hai do kay dermian

aur phir jo koe bhi aata hai baad mein
woh teesra hay

so tumhein kesay sumjhaayein
ana to ko'ee teesra hay
jo meray tumhaaray
dermiaan khara hay

aa'o toR dein is tikon ko
phir sey bun jaaien
sirf do

Wo be-irada hi sahi Titlioon mein rehta hai

Wo be-irada hi sahi Titlioon mein rehta hai
Ke mera dil to meri muthioon mein rehta hai

Mein apne hath se dil ka gala daba doon ga
Mere khilaaf yahi shazishoon mein rehta hai

Bacha ke khud ko ghuzrna mahaal lagta hai
Tamam shehar mere rastoon mein rehta hai

Meri kitaab-e-Mohabbat mein uska ziker nahi
Wo khush khayal ghalat fehmion mein rehta hai

zaraa saa qataraa kahin aaj agar ubharata hai

zaraa saa qataraa kahin aaj agar ubharata hai
samandaron hii ke lahaje mein baat karataa hai

Khulii chhaton ke diye kab ke bujh gaye hote
koii to hai jo havaaon ke par katarataa hai


sharaafaton kii yahan koii ahamiyat hii nahiin
kisii kaa kuchh na bigaaro to kaun Darataa hai


zamiin kii kaisii viqaalat ho phir nahiin chalatii
jab aasmaan se koii faisalaa utarataa hai

tum aa gaye ho to phir kuchh chandanii sii baaten hon
zamiin pe chaand kahan roz roz utarataa hai

teri zulfain bikharne ko ghata kehdoo'n tau kaisa ho



teri zulfain bikharne ko ghata kehdoo'n tau kaisa ho
terey aanchal k urhne ko saba kehdoo'n tau kaisa ho

bazahir chup ho lekin phir bhi aankho'n mai hai afsaney
teri khamoshyo'n ko bhi sada kehdoo'n tau kaisa ho

merey shikwe shikayat par bhi mujhse pyar karti ho
teri chahat ko mai sab se juda kehdoo'n tau kaisa ho

tumhare bin mera jeena barha dushwar lagta hai
tumhe mai apne jeene ki waja kehdoo'n tau kaisa ho

jo tum naraaz naa ho tau mujhe ikk baat kehni hai
agar mai pyar se tumko wafa kehdoo'n tau kaisa ho

Tumhari hasti rahi humesha

Tumhari hasti rahi humesha
Nazar k agay’nazar k pichy,
Tuhari hasti main ji raha hon
Na koi ahat
Na koi aas
Na zindagi k hi rastay hyn
Jo tum say chaha
Na mil sakha who
Tumhari hasta ka main makin hon
Jisy khusi ki rahi tamana,
Jo shab k andheron main dhondhta hy
Nishan tumhare rastay ka
Badal day jo shayad zindagi ko kisi b soraat
Yeh sara manzar hi khuf ka hy
Har lamha main sochta hon
Tumhari hasti k tabay reh
Jisy tumhari talb rahi
Udass raton ka humsafar hon, kr
Na jane kia kia sitam karon ga
Na jane kin kin ko ana ki khatir
Main shab ki zulmat main lout aaon ga
Magar main tum say door jaon
Jo dor jaon
Tu jaon kaisy
Tumhari hasti mera makan hai…!!

main shair hota to hijar ki shaam likhta

main shair hota to hijar ki shaam likhta
tere naam muhabbt k peghaam likhta

teri aankhon k sumandar main doob ker
teri aankhon ka sagar tamaam likhta

jab kabi tu maeri aankhon ko chumti
teri honto k had ko jaam likhta

agar teri badnaami ka dar na hota
muhabbat ki ahani sar-e-aam likhta

Main Teray baghair Ek Sehra hoon

Terey baghair Sard mosmo'n ke khusgawar Din Udaas hen...
Fiza me Dukh Racha hoa hi..
Hawa koi udaas geet gungana rahi hi...
Phool ke Labo'n pe Peyas hi..
Aisa Lagta hi..
Hawa ki Aankhen Rotey Rotey khushk ho gai hon..
Saba ke dono hath khali hon..
keh... shehr mein Tera koi pata nahen...
saans lena kitna mahaal hi..
udassian udassian Ajab haal hi..
Tamam sabz sayya-dar pero'n ney...
Tery baghair wehshato'n me apney perahan ko tar tar kr dia...
Ab kisi shajr key Jism per Qubba nahen....
Sookey Zard pattey...
Koo ba Koo teri tilaash me Bhatak rahey hen...
Meray Daricho'n me Gulabi dhoop roz jhaankti hi...
Mgr uss ki Aankho'n me..
Wo Jag-mgahetie'n nahen...
Jo teray Waqt me Zameen key sabeeeh maathey per...
Soorajo'n ki kehkashan'n sajaaney aatie'n thien..
Zamee'n bhe meri Trah hi..
Teray baghair es ki Kohk se bhe ab..
Koi Gulaab uug na paye ga..
Zamee'n Banjer ho gai hi...
Aur...
Meri Rooh ki Bahaar Aafree'n kohk be...
Meri soch key sadaf mein...
Fun key suchey moti kis trah Janam lia kren...
keh main sarapa-e-tashnagi hon...
Aur door door tak, Visaal-e-abr ki khabr nahen...
Meray aur Teray darmian...
Paanch Paanio'n key Des mein...
Kachey gharrey bhe to meri dastars se door hen...
Mian kis trah SHER kahoo'n...
Meri Soch key Badn ko, tooo Namoo to dey...
keh...
Main Teray baghair Ek Sehra hoon..........!

fizaa k sard lehjay ki adain raqs karti hain

fizaa k sard lehjay ki adain raqs karti hain
gaye lamhon ki huwahesh main hwain raqs karti hain,

sitary toot tay hain jab to ghar k eik konay main.,
kisi k surkh hontun per duaen raqs karti hain.,

kai basty gharoun per ik sannata sa chaya ha,
kai khali makanoun main sadain raqs karti hain,

suna ha rak kay pichlay peher darya k hontun per,
kisi kachay gharray pe kuch wafain raqs karti hain,

tumhain maloom ha k be-khabar barsaat k agay,
kaii kachay gharoun main iltijaain raqs karti hain,

hamara aftaab aey to darya k kinary per,
fizaa main tairti chanchal shuwain raqs karti hain,

Monday, January 2, 2012

Nakaam-E-Ishq Hoon So Mera Dekhna Bhi Daikh


Nakaam-E-Ishq Hoon So Mera Dekhna Bhi Daikh
Kum Dekhta Hoon Aur Ghazab Dekhta Hoon Main..!

Himat nahi hai k Daastaan-e-zindagi apni suna sakein

Himat nahi hai k Daastaan-e-zindagi apni suna sakein
Mukhtasar suno jis ne bhi Dil tora ji bhr K tora

Ehsaas-o-murawat se na-aashna log

Ehsaas-o-murawat se na-aashna log
Ajeeb lagtay hain jab "Muhabbat" ki baat karty hain

Mangi wazahatein na mangi koi daleel

Mangi wazahatein na mangi koi daleel
dil ne to had hi kardi us pay aitbaar ki

Hazaar chehron mein teri mushaabihat mili mujh ko

Hazaar chehron mein teri mushaabihat mili mujh ko
Par dil ki marzi hai agar tu nahi tou koi tujh sa bhi nahi

Dabo do apni kashti ko kinaray dhoondnay walon

Dabo do apni kashti ko kinaray dhoondnay walon
Yeh dariya-e-Mohabbat hai yahan sahil nahi hota

Mausam-e-Ishq Jo Aaya To Qayamat Laaya

Mausam-e-Ishq Jo Aaya To Qayamat Laaya
Phir Woh Mausam To Gaya Aur Qayamat Na Gayi

Hum jab nibhaty hein to is tarha nibhaty hain

Hum jab nibhaty hein to is tarha nibhaty hain
. "MOHABBAT"
Saans to toot sakti hai mager Daaman-e-yar nahi

Main Jo Badlon To Taghayur Hai Meri Zaat Talak

Main Jo Badlon To Taghayur Hai Meri Zaat Talak
Tu Jo Badlay To Shab-o-Roz Badal Jatay Hain.

Libas daikh k itna humen ghareb na jaan

Libas daikh k itna humen ghareb na jaan,
Hamara gham teri amlak se ziada hai.

Hanse wo lakh magar zabat e gham ki tehrerain

Hanse wo lakh magar zabat e gham ki tehrerain,
Na chop sakain gi k chehra kitab jaisa hai.

Ye tairgi to bahar hal chat hi jae gi

Ye tairgi to bahar hal chat hi jae gi,
 Na raas ayi humein roshani to kia ho ga.

Abhi Kamsin ho Rehne do Kahien kho do gi Dill mera

Abhi Kamsin ho, Rehne do, Kahien kho do gi Dill mera
Tumhare he liye rakha ha, Ley jaana Jawaan ho kar…..!!!

Reply

…Na Kamsin hon, na Naadan hon, Muhobbat ko samajhti hon
Tumhara kya Bharosa ha, Mukar jaao Jawaan ho kar…..!!!

uss ko ghilaaf-e-rooh mein rakha, sambhal ker

uss ko ghilaaf-e-rooh mein rakha, sambhal ker
MOHSIN wo zakhm bhi to kisi aashna ka tha…

Mohsin dil-e-gareeb ki wairaniya’n to daikh

Mohsin dil-e-gareeb ki wairaniya’n to daikh
kaisa nagar tha jo tere hatho’n ujar gaya..

Wo Mohabbaton K Sauday Bhi Ajeeb Kerta Ha

Wo Mohabbaton K Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin…
Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai..!!!

Kaisay Ajeeb Log Bastay Hain Tere Shehar Main

“Kaisay Ajeeb Log Bastay Hain Tere Shehar Main Mohsin,
Shoq e Dosti Bhi Rakhtay Hain Aur Yad Bhi Nahi Krtay”

ronay waloon k tou hamdard bohat hain

ronay waloon k tou hamdard bohat hain Mohsin
hanstay hanstay kabhi duniya ko rula ker daikhein

Ae Hasrat_e_Deedar Ye Kya Raaz Hai Akhir

Ae Hasrat_e_Deedar Ye Kya Raaz Hai Akhir
Wo Samnay Aatay Hain To Dekha Nhi Jata

Ye soch kar shayd woh Khuli khirki

Ye soch kar shayd woh Khuli khirki say jhaankay ga
Gali main Kheltay Bachay Larra diye main ne….

Zindagi thak k girti hai to khayal aata hai

Zindagi thak k girti hai to khayal aata hai…
Jan-Lewa hai La-hasil ki tammna karna…

Ankhain khuli to jag uthi hasratain

Ankhain khuli to jag uthi hasratain Mohsin…
usko bhi kho diya jisey paya tha khwab main.

Usay Paana Usay Khona Ussi Ke Hijr Mein Rona

Usay Paana, Usay Khona, Ussi Ke Hijr Mein Rona
Yehi Gar Ishq Hai Mohsin, To Hum Tanha Hi Achay Hain !

Ik Khawab Ho Kay Reh Gai Hai Rasm-e-Mohabat

Ik Khawab Ho Kay Reh Gai Hai Rasm-e-Mohabat
Ik Weham Sa Hai Ab K Mere Sath Tum Bhi Thay

Badla na teray bad b mozo-e-guftago

Badla na teray bad b mozo-e-guftago
“Tu ja chuka hai phir b meri mehfalon mein hai

Jin Ka Milna Muhaal Ho Aatish

Jin Ka Milna Muhaal Ho Aatish
Un Ki Yaadein Azaab Hoti Hain.

Hum itne Anmol Nahi Magar Humari Qadar Karna

Hum itne Anmol Nahi Magar Humari Qadar Karna
Baarish Ka Katra Zameen Mein Jazb Honay K Baad Mila Nahi Karta

Bhool jana to rasm-e-duniya hai

Bhool jana to rasm-e-duniya hai
Mohsin
Tumne bhool ker konsa kamaal ker diya

Yun Wafa Kay Silsilay Musalsal Na Rakh Kisi Say



Yun Wafa Kay Silsilay Musalsal Na Rakh Kisi Say
Mohsin
Log ik Khata Ky Badly,Saari Wafaein Bhool Jaaty Hain.!!

hai shoq-e-safar aisa k ik umar se hum ne

hai shoq-e-safar aisa k ik umar se hum ne
manzil bhi nahi payi rusta bhi nahi badla

mohabat phir mohabat hai kabhi dil se nahi jati

mohabat phir mohabat hai
kabhi dil se nahi jati

lakhon rang hein is kay..
ajab hi dhang hein is k..,

kabhi sehra..,
kabhi deriya..,
kabhi jugno..,
kabhi anso..,

hazaron roop rukhti hay..
badan jhulsa k jo rakh day..
kabhi woh dhoop rakhti hay?,

kabhi ban ker yeh eik jugno.
shabe gham ki andheron mein..
dilon ko aas deti hay??.,

kabhi manzil kinarey per..,
sadyon k musafir ko..,
faqat eik piyas deti hay..
Aziyat hi Aziyat hay?,

mohabat phir mohabat hai
kabhi dil se nahi jati!!!

Shamma jalaye rakhna jab tak ke main na aaun


Shamma jalaye rakhna jab tak ke main na aaun
Khud ko bachaye rakhna jab tak ki main na aaun

Zinda dilo se duniya zinda sada rahi hai
Mehfil sajaye rakhna jab tak ke main na aaun

Ye waqt-e-imtehaan hain sabr-o-karar-o-dil ka
Aansun chupaye rakhna jab tak ke main na aaun

Hum tum milenge aise jaise judaa nahi the
Saanse bachaye rakhna jab tak ke main na aaun

Ab k December mein

Manoos Ajnabi
Ab k December mein
Main nay bhi kuch khawab sjaye hain
apni sard aankho'n mein
per darr lagta hai
kahi yeh meray khawab
pighel na jaye
Dhoop pernay per....!!

Yeh dard mit gaya tu phir?

Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir?

Dil main dard samane wale kaise ho

Dil main dard samane wale kaise ho
mujh ko chhor ke janay wale kaise ho

neend nahen aati hai mujh ko raaton main
meri neend churane wale kaise ho

maine khud se barh kar tm ko chaha hai
chahat ko thukrane wale kaise ho

wada kiya tha tm nay sath nibhane ka
wada tor ke jane wale kaise ho

Raaz-e-dil aam Kar Gaye Aansu

Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aansu
GhaM Ko BadnaaM Kar Gaye Aansu,

Aaj Usne Bhi Haal Puchh Liya,
Aaj To KaaM Kar Gaye Aansu,

Log Phoolon Ke Sath Pahuche The,
Aur HuM ThaaM Kar Gaye Aansu,

HuM Kisike Na The Magar HuMko,
Aap Ke NaaM Kar Gaye Aansu,

Har Kisi Ne Lagaya DaaM,
GaM Ko NilaaM Kar Gaye Aansu,

Dhund Si Chha Gayi Hai Aankhon Mein,
Har Taraf ShaaM Kar Gaye Aansu,

Baat Mein Bhi Bahut Asar Tha,
Aur Kuch KaaM Kar Gaye Aansu,

Shayri Sirf Shayri Thi,
Usko IlzaaM Kar Gaye Aansu..

Na Samaton Mein Tapash GhUley Na Nazar ko Waqf-e-Azaab Kar

Na Samaton Mein Tapash GhUley Na Nazar ko Waqf-e-Azaab Kar
Jo Sunaaii Dey Usey Chup Sikha jo Dikhaaii Dey Usey Khwaab Kar

Abhi mUntashi Na ho AjnAbii Na Wisaal rutt Key Karam jatta
Jo Teri Talash Mein gum hoye Kabhi Un Dinon Ka Hisaab Kar

Meray Sabr Par koii Ajr Kya Meri dopehar Pey Yeh Abr Kyoun
Mujhey Orhnay Dey Aziyatien Meri Aadatien Na Kharaab Kar

Kahien Aablon Key Bhanwar Bajien Kahien Dhoop Roop Badan Sajien
Kabhi Dil ko Thall Ka Mizaaj Dey Kabhi Chashm e Tar ko Chanaab Kar

Yeh Hajoom e Sitam-Garaan Na Suney Ga Teri Sada Kabhii
Meri Hasraton ko Sukhn Suna Meri Khwaahishon Sey Khataab Kar

Yeh Jaloos e Fasl e Bahaar Hai Tohii Dasta Yaar Saja Isey
Koii Ashk Phir Sey Sharar Bana koii Zakhm Phir Sey gulaab Kar

Zindgi kis tarha bitaoge

Zindgi kis tarha bitaoge
Pas jab apne hame nahi paoge..
Din me tanhayia
satayegi,
Rat ko chonk kar uth jaoge..
Rat bhar neend kyu nahi aati,
Tum ye khud bhi samajh na paoge..
Log poochege is tanhai ka sabab,
Kya chupaoge
Kya bataoge..
Palke har bar bheeg jayengi,
Jab kabhi khul k muskuraoge..
Meri yaade bohot
satayegi,
Jab bhi barish me bheeg jaoge..
Khud ko tanha na pa sakoge kabhi,
Har jagha mera hi aks paoge….

kisi say rishta gehra na kerna

kisi say rishta gehra na kerna..,
bhool ker bhi adhoore sapnay na sajana..

zindagi mein kisi say dil na lagana ?

kyon k

gehre rishtay?
adhore sapnay?
or Dil..

Akser toot jatay hein..!!

Duniya Badi Moo Zor Hai Bahi

Duniya Badi Moo Zor Hai Bahi
Yeh Bandaa Kamzor Hai Bahi

Yahan Koi Kisi K Kaam Nein Ahta
Ye Nafsa Nafsi Ka Daur Hai Bahi

Kis Ko Mun Ka Meet Banahain
Har Koi Yahan Chor Hai Bahi

Mein Kisi Ko Dil De Baitha
Ishq Pe Kis Ka Zor Hai Bahi

Aise Mard Ko Janat Milay Gi
Jo Dau Biwion Ka Shour Hai Bahi

Duniya Ki Nazroon Mein Hum Chote Sehie
 Dostoon Mein Apni Touhr Hai Bahi

tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin

tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin
hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai

chand sikoon ke ivaz cheen li ghairat meri
kitni kam is ne muqqarar meri keemat ki hai …!!

kon tha jis ne bhujaye mere ghar ke cheeragh
janay kis ne yeh siyahi meri qismat ki hai

ab woh tardeed pe tardeed kiye jata hai
main ne tou baat ki thori si wazahat ki hai

ghar main dar aya hai dushman tou shikayat kaise
ham ne khud us ko faraham ye sahoolat ki hai

shairy kia thi faqt shair ke pairahe main
hum ne aik ahad ki tareekh ibarat ki hai .

Woh Jo Rehta Tha Is Dil Mein

Woh Jo Rehta Tha Is Dil Mein
Kabhi Apnon Ki Tarah.
Aisa Bhoola Ke Millta Hai
Ab Sapnon Ki Tarah.
Pal Pal Karta Tha Jo
Sath Nibhane Ki Batain.
Chorr Gaya Hum Ko
Purani Rasmon Ki Tarah.
Ruswa Huwa Zamane Mein To Yeh Jana.
Tere Wade Bhi Thae Jhoote Teri Qasmon Ki Tarah.

Yaad aataa hai roz O shab koi

Yaad aataa hai roz O shab koi
Hum se rutha hai be sabab koi


Lab E joo chhaaoN me darakhtoN ki
Woh mulaaqaat thi ajab koi!!


Jab tujhe pahli baar dekhaa tha
Woh bhi tha mausam E tarab koi


Kuchh khabar le K teri mahfil se
Door baitha hai jaaN ba lab koi


Na Gham E zindagi na dard E firaaq
Dil meN yuNhi si hai talab koi


Yaad aati haiN door ki baateN
Pyaar se dekhta hai jab koi


khaayi hai baarhaa lekin!
Aaj to dard hai ajab koi


Jin ko mitna tha mit chuke ‘Nasir’
Un ko ruswaa kare na ab koi...

Kisi ka dard ho dil be-Qaraar apna hai

Kisi ka dard ho dil be-Qaraar apna hai
Hava kahiN ki ho siinaa figaar apna hai


Ho koi fasl magar zakhm khil hi jate hain
Sadaa bahaar dil E daGhdaar apna hai


Jo shaad phirte the kal aaj chhup ke rote hain
Hazaar shukr gham E paaidaar apna hai


Na tang kar dil E mehzuN ko ae gham E duniya
Khudai bhar meN yehi Gham gusaar apna hai


Wo koi apne siwaa ho to us ka shikwa karun
Judaayii apni hai, aur intezaar apna hai...!!!

koi toh hai jo

koi toh hai jo


Udasiyaan Jab,
Tumein Satayein,
Toh Soch Lena,

KOI TOH HAI JO,

Tumari Khatir,
Andheron Ko,
Chun Raha Hai,

KOI TOH HAI JO,

Tumharay Khuwabon,
Ko Apni Ankhon,
Mein Bun Raha Hai,

KOI TOH HAI JO,

Tumhari Saanson,
Ko Apni Saanson,
Mein Sun Raha Hai,

KOI TOH HAI JO,

Apni Dharkan,
Ki Tasbihon Par,
Tumaray Naam Ko,
Gin Raha Hai.....!!!

Hon gay juda hum es tarah imkan tu na tha

Hon gay juda hum es tarah imkan tu na tha
Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha.

Jesay howa hai ab k wo, halaat say mray…..
Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha.

Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia…..
ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha.

Ek Pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi……
Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha.

Mohsin hum ne Ishq mein,paya naffa bahut…..
Es kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha.

Bahar Rutt me ujar Rasty


Bahar Rutt me ujar Rasty,
Tak’ka kro gy to Ro paro gy
Kisi se milny ko jab bhi Mohsin,
Sajja karo gy to Ro paro gy
Tumhare wadon ne yar muj ko,
Tabah kiya hy kuch is trha se
K zindgi me jo phir kisi se,
Dagha karo gy to Ro paro gy
Main janta hon meri muhabbt,
Ujar dy gi tumhe bhi aise
K chand raton me ab kisi se,
Mila kro gy to Ro paro gy
Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen
Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…….
Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…!!!

Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho

Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho
Baat itni b na brr jaye k ruswai ho

Jis ne b mujhko tamasha sa bana rakha hy
Ab zarori hy wohi aankh tamashai ho

Dobne wale to aankho se b kub nikle hain
Dobne k liye lazim nahi,gehrai ho

Main tujhe jeet b tohfey me nahi de sakta
Chahta ye b nahi hon teri paspai ho

Koi anjan na ho shehr-e-mohabat ka makeen
KASH har dil ki har ik dil se shanasai ho

Aaj to baz'm mein har aankh thi pur'num jaise
Daastaan meri kisi ne yahaan dohraai ho

Yon guzar jata hai MOHsin tere koche se woh
Tera wakif na ho jese koi SODAI ho..!

wo humsafar tha magar us se hum nawayi na thi

wo humsafar tha magar us se hum nawayi na thi
k dhoop chaon ka aalam raha judai na thi

Adawatein thi Taghaful tha Ranjishen thi Magar
Bicharne wale main sab kuch tha magar be wafai na thi

Bicharte waqt un aankhon main thi hamari ghazal
Ghazal bhi wo jo kabhi kisi ko sunayi na thi

kisay pukaar raha tha wo doobte huey din
sada to ayi thi lakin koi duhaayi na thi

kabhi ye haal k dono main yak-dili thi Mohsin
kabhi ye marhala jaise k aashnayi na thi

Popular Posts