Saturday, January 1, 2011

duaaon ka koii samar de de MOULA



duaaoN ka koii samar de de MOULA
mujhe zindagi ka hunar de de MOULA.

Ye afwaaheN lekar yuN hi uR rahi haiN
hawaaoN ko sachchii khabar de de MOULA.

mere is safar ki to manzil hi gum hai
mujhe koii taazaa safar de de MOULA.

tujhe bhool kar bekasoN par na tooteN
har ik dil meiN itnaa to dar de de MOULA.

jise maiNne chaaha tha sab kuchh bhulaa kar
kahaaN hai wo jaane, khabar de de MOULA.

jo aaNkheN bhi mooNdeN to ho na andhera
sabhi ko ik aisii nazar de de MOULA.

makaaN to bahut haiN tere is jahaaN meiN
makeenoN ko ab thoRe ghar de de MOULA.

kabhi to khileN phool sehraaoN meiN bhi
zameeN regzaaroN ko tar de de MOULA.

mere waaste wo samandar hii hoga
mujhe aik qatraa agar de de MOULA.


udhar to ujaaloN ka jamghat lagaa hai
zaraa noor apnaa idhar de de MOULA.

bahut lambii shab hai, jee uktaa gayaa hai
kabhi to sunahri sehar de de MOULA.

rakho jholiyaaN har ghaRii saath apne
na jane kise kya kidhar de de MOULA.

meri arziyaaN sab pahuNch jaayeN tujh tak
meri arziyoN ko asar de de MOULA.

No comments:

Popular Posts