Teri nazar ka nasha kab utarne wala hai
Suroor had se badha, rind marne wala hai
Bata rahi hai fiza'aoN ki naghmagi yaaro
Woh khush-khiraam idhar se guzarne wala hai
Hata rahay hain woh chehray se apni zulfoN ko
Andheri raat mein sooraj ubharne wala hai
Humein phir unki masihaa'yi ki zaroorat hai
Puraana ghaao jo dil par tha, bharne wala hai
Kiya bhi hum se tu izhaar-e-ishq kis ne kia
Jo apni baat se khud hi mukarrne wala hai
Main kia karoN, mujhay woh Jotashi nahi milta
Kaha tha jis ne muqaddar sa'Nwarne wala hai
No comments:
Post a Comment