Saturday, January 1, 2011

Milay Ho Baad Muddat Ke Tou Kaisi Yeh Jhijak Si Hai


Milay Ho Baad Muddat Ke
Tou Kaisi Yeh Jhijak Si Hai?
Labon Per Lafz Kyun Aa Kar
Adaa Honay Se Qaasir Hain?
Jo Kehna Hai Woh Kehh Daalo
Magar Thehro!
Suno Lekin!
Mujhay MujhSe Bicharrnay Ki
Koi Taaweel Mat Daina
Tumhari Chuup Ke Lehjay Ko
Abhi Bhoola Nahin Hoon Main
Tumhari Kham'shi Ke Sab
Mujhay Mafhoom AzBar Hain
Tumharay Un-Kahay Lafzo'n Ko
Dil Ab Bhi Samajhta Hai
Suno! Be-Rabt Lafzo'n Ke
Koi Ma'aani Nahin Hotay
Suno! Lafzon Ke Pehloo Se
Agar Mafhoom Uthth Jaaye
Tou Baaqi Kuch Nahin Rehta
Khizaa'n Ki Ruut Mein Gulshan Ko
Kabhi Ba-Ghaur Dekha Hai?
Keh Jab Pattay Bikhar Jaayen
Tou Shaakhain Baanjh Lagti Hain
Keh Pattay Zard Bhi Ho'n Tou Shajar Ki Shaan Hotay Hain
Na Karna Ab Koi Waada
Hamesha Saath Rehnay Ka
Keh Bichhrray Mil Bhi Jaatay Hain
Keh Mil Kar Phir Bichharrnay Ke Bhi Tou Imkaan Hotay Hain
Jabhi Kehta Hoon Main Tum Se
Mujhay Mujh Se Bichharrnay Ki... Koi Taaweel Mat Daina

No comments:

Popular Posts