Gharat gar e tehzeeb k hathoN main watan hay
Har soo mray ghar aah-o-baka, ranj o mihan hay
YaaN nafs parastoN ki hawas ka hay ye aalam
Rastay main pari na'sh bhi be-gor o kafan hay
Har simt darindoN ko mili choot hay aesi
lagnay laga aasaib zada daar o rasan hay
Hum aaj tamaddun say nazar kesay milaayiN!
Be-aabro tehzeeb ka uryaaN jo badan hay
Kam-zarf ki hoti hay nazar takht e shahi par
Ye daikh k sharminda boht koh o daman hay
Ik simt laho rang hua zeest ka maqtal
ik simt sukhan-war hein, ba-eeN rang e sukhan hay
KhushyoN ki bahar aaye, muqaddar main nahi hay
Gaity pe abhi noha kunaN sar -wo-saman hay
Kaj-fehmi-e-halaat ko kehtay hein hunar ye
Andher hay! khursheed kahein jis ko , Kiran hay
No comments:
Post a Comment