Saturday, January 1, 2011

Syaah shab thi or aarzuuoN ka surkh maqtal khula rha


Syaah shab thi or aarzuuoN ka surkh maqtal khula rha
par aik dar jaanay kis liye raat bhar musalsal khula rha

nazar kay parday pe dheeray dheeray bas aik manzar safar karre
wo chaandni raat ki hawaayeN or us ka aanchal khula rha

jo aaina ban sanwar kay daikha tau yaad aayi nazar meri
khyaal jaise hi aaya maira tau saara kaajal khula rha

wo aalam-e-habs-e-hijr-e-daaim keh saaNs dushwaar ho gyi
na dhoop nikli na khul kay barsa falak pe baadal khula rha

na khul ska shehr-e-aarzu ka koi bhi rasta mere liye
mere junooN ki jilaa ko wahshat ka sabz jangal khula rha

na daikha shehr-e-gharaz sarishtaaN,aseer-e-matlab na ho saka
azal se dasht-e-junooN maiN be chain aik paagal khula rha

wo WARD ki bhini bhini khushbu,har aik ghar tak pohanch gyi
hasin khushbu ka ik daricha chaman se pal pal khula rha

No comments:

Popular Posts