Mujhay Tum Se Mohabbat Thi
Main Ab Iqraar Karta Hoon
Bahut Pehlay Jo Karna Tha
Woh Ab Izhaar Karta Hoon
Bahut Chaaha Tha Ban Jaoo'n
Kabhi Saaya Tumhara Main
Tumhari Aankh Mein Chamkoo'n
Kabhi Ban Ke Sitaara Main
Koi Jazbaa He Ban Jaoo'n
Tumharay Dil Mein Pal Jaoo'n
Adaa Ho Jaoo'n Honto'n Se
Naye Lafzo'n Mein Dhal Jaoo'n
Hawaa Ka Jhau'nka Ban Jaoo'n
Tumhari Zulf Se Khailoo'n
Tumhain De Kar Khushi Apni
Tumharay Saaray Gham Le Loo'n
Kabhi Jo Muskura Do Tum
Hansi Meri Bhi Khil Jaaye
Meri Khush-Rung Socho'n Ko
Tumhara Saath Mil Jaaye
Kabhi Jo Khwab Dekho Tum
Merii Soorat Nazar Aaye
Tumhain Na Dekh Paoo'n Main
Kabhi Na Woh Sahar Aaye
Phir Woh Khwaab Bhi Tum Ne
Palkon Per Sajaaya Tha
Magar Uss Mein Meray Badlay
Koi Chehra Paraaya Tha
Tum Ne Muskura Kar Bhi
Hansi Meri Churaa Li Thi
Per Iss Se Be-Khabar Tum Ne
Alag Duniya Basaa Li Thi
Bhula Paaya Na Main Lekin
Woh Beetay Din Gayii Raatain
Lagti Hain Jo Saari Abb
Khayaal-O-Khwaab Ki Baatain
Tumharay Baad Har Ik Din
Kahoo'n Kya Kaisay Kaata Hai
Kiye Hain Dil Ke Tukrray Khud
Khud Apna Khoon Chaata Hai
Magar Ab Sochta Hoon Main
Kyun Yeh Gham Sahaa Hota
Agar Ik Baar Bhi Tujh Se
Haal-e-Dil Kahaa Hota
Jo Kehna Tha Mujhay Tum Se
Saleeqay Se Na Kehh Paaya
Main Apni Baat Ko Shayad
Tareeqay Se Na Kehh Paaya
Bahut Pehlay Ki Woh Ghalti
Khalish Ban Kar Sataati Hai
Kuch Bhi Likhna Chahoo'n Main
Tumhaari Yaad Aati Hai
Mukhaatib Kar Ke Main Tum Ko
Na Kuch Bhi Yaar Likhoo'n Ga
Magar Jo Ab Ke Likhoo'n Ga
Faqat Ik Baar Likhoo'n Ga
"Mujhay Tum Se Mohabbat Thi
Main Kab Inkaar Karta Hoon,
Magar Sun Meri Jaa'n! Abb Bhi
Main Tujh Se Pyaar Karta Hoon"
No comments:
Post a Comment