Saturday, January 1, 2011

Jaltay hain shoq se nar-e mohabbat me apni khabar nahin


Jaltay hain shoq se nar-e mohabbat me apni khabar nahin
Khotay hain hosh v hawas aisay ke apni khabar nahin

Rat din un ka vazifa hy mohabat me
Raz-e dil kya hy kisi ko mutlaq khabar nahin

Maza aata hy un ko azkar-e mohabbat me
Ghairon ke azkar ka un per koi asar nahin

Sada chaltay hain aaray dil per mohabbat me
Dil rota hy ishq me magar aankh tar nahin

Lutatay hain apni daulat sakhawat se mohabbat me
Dahr ka kiya gham ho pas gar mal v zar nahin

Sakun milta hy natavan ko uski qurbat me
Karam hota rahay youn khub, is se or khubtar nahin

Roti hain aankhain gunahon se nadamat me
Patay hain vohi manzil dono jahano me koi khatr nahin

Thokrain kha tay hain zamanay ki jo log mohabbat me
Inam-e mohabbat payaingay eik din jo be sabar nahin

Samad rahta hy mast har hal daulat-e mohabbat me
Gham-e doran ka dil per is ke koi asar nahin

No comments:

Popular Posts