Mohabbat ka anjaam judaai kiyun hai
Kabhi na mitne wali ruswaai kiyun hai
Waqt thaira nahin rehta kisi ke liyae yahan
Phir thairay hue pani main gehrai kiyun hai
udas chahra pe hai ab sawan barstaa
veerane main bajti hui shahnaai kiyun hai?
phool bhi chubh jate hain nashtar ki tarha
zakhmiN dil pe fizaa muskuraai kiyun hai ?
na koi shor hai na maatam ho raha hai
kanoN main cheekheN deti sunaai kiyun hai?
na woh bewafa hain na hum bewafa hain
to phir halaat par touba machaai kiyun hai?
isi soch main "Ana"ki raat beet.ti jaaye hai
Ke aakhir mohabbat ka naam hi judaai kiyun hai?
No comments:
Post a Comment