Saturday, January 1, 2011

Jo meri jaan maseehai tum karo to kahain


Jo meri jaan, maseehai tum karo to kahain
Jo ghao tum nay lagay unhain bharo to kahain

yeh jis main hum hain wohi imtehaan-e-ulfat hai
hamain to marna hi tehra, jo tum maro to kahain

yeh dar hai hum ko kay tum aik hi shanasaa ho
tumharay dost kai hain agar daro to kahain

sabhi nay moorid-e-ilzaam ham ko tehraya
ye tohmatain sarr-e-mehfil jo tum dharo to kahain

marain gay kehna to asaan hai magar
wisaal-e-yaar ki khater agar karo to kahain

No comments:

Popular Posts