Saturday, January 1, 2011

Piyar muhabbat ke hain jitne sab afsa'anay jhootay hain



Piyar muhabbat ke hain jitne sab afsa'anay jhootay hain
Saari shamm'eyeN jhooti hain, saare parwa'anay jhootay hain

Apni zaat se badh ke ulfat kon kisi se karta hai
Jaan nicha'awar karne wale sab deewanay jhootay hain


Kab tak aas ka daaman thaamay tal'kh haqa'aeq jhutlaa'ein
Taabirein yeh batlaati hain khawaab suhaanay jhootay hain

Saaf hi keh do hum se milna baar-e-gira'aN hai ab tum ko
Idhar udhar ke jo karti ho laakh bahanay, jhootay hain!

Meray nanhay munnay such ki kia au'qaat wahaN, jiss jaa
Lamhay jhootay, sadia'aN jhooti aur zama'anay jhootay hain

No comments:

Popular Posts