Gardish e waqt ki aafaat pe royaa jaaye.
Aise bigRe huwe Haalaat pe royaa jaaye.
Jin se baRh jaaye Gham o ranj o alam ki taceer,
Mustamir aise khayaalaat pe royaa jaaye.
SaHn e khaanah meN bhi kuchh der ho gham ki taqreer,
Yaar ke tark e i'laaqaat pe royaa jaaye.
DaastaN apni sunaaoNga maiN lekin yaaro !
Soz khwaani ke muqaamaat pe royaa jaaye.
Gham ki taqreer hai ye khoob ho giryah is par,
Ya'ni jaz'baat se jaz'baat pe royaa jaaye.
Poochh tu bhi sabab e girya o zaari kya hai,
Taake kuchh tere suaalaat pe royaa jaaye.
Us ke andaaz e taGhaaful pe jo ro kar nibtoN,
To phir andaaz e malaamaat pe royaa jaaye.
Z'bt' mumkin tha jo hote use do-chaar gile,
Beesh iz Hadd shikaayaat pe royaa jaaye
Jaane kya kya mujhe Haider wo gayaa hai keh kar,
Yaad aaye to har ek baat pe royaa jaaye.
No comments:
Post a Comment