Saturday, January 1, 2011

usko khwaabon me rakh lena mushkil bhi to kitna tha


usko khwaabon me rakh lena
mushkil bhi to kitna tha
dil se yun ik badla lena
mushkil bhi to kitna tha

shaam ki us dehleez pe jaake
saanson ke jo vaade the
un vaadon pe qaayam rehna
mushkil bhi to kitna tha

raahon me chalte chalte hum
khud ko kaise kho baithe
tujh se mil kar khud tak rehna
mushkil bhi to kitna tha

daanista ik soch bani ki
tu hi mera apna hai
aisi sochon se lard paana
mushkil bhi to kitna tha

naghma sara the zehan ke hisse
jinme teri yaaden thin
aisi dhun se ghaafil rehna
mushkil bhi to kitna tha

koi azeeyat dil me nishani


teri ban ke baith gai
honthon pe muskaan yun laana
mushkil bhi to kitna tha

khwab baras kar beet chuke hain
zehan me ab bhi unki nami
aankhon me us nami ko rakhna
mushkil bhi to kitna tha

teri khushi ki chaah liye hum
kitne dukhon me bhi khush hain
verna bemaqsad jee paana
mushkil bhi to kitna tha

No comments:

Popular Posts