Saturday, November 17, 2012

suno iltija hai itni

suno iltija hai itni
jab meri sansain
mera jism choor dain
jab aankhain weeran ho jain
jab main thak jaoon or gir jaoon
jab main tumhein pukaroon
or aawaz na day paoon jab mujhay jana ho
lootna hoo apnay khuda kay pass
aisay lamhay tum aajana ik
lamhay kay liye hi per dua kay liye
hath uthana meri sard
paishani pay apna hath rakhna
taasuf say sir hilana phir
mairay jinazay ko kandha daina
or apni dunia say door choor aana
bus sirf in chand lamhoon ka sakoon meri
zaindagi pay tumhara ehsan ho ga
kay tumhare hathoon  ka
 lams kaber main bhi mujh say juda na ho ga

sara zamana tha us k janazay mein shareek



sara zamana tha us kay janazay mein shareek
wo ek shaks jo tanhai k khouf se mar gaya

kabhi iss dard se guzro to ye maloom ho tum ko



kabhi iss dard se guzro to ye maloom ho tum ko
mohabbat wo balaa hai jo dilon ka khoon peeti hai

kash k wo lout aaye mujh se ye kehne


kash k wo lout aaye mujh se ye kehne
k tum kon hote ho mujh se bicharne wale

zakham khareed laya hoon bazar-e-dard se




zakham khareed laya hoon bazar-e-dard se
dil zid kar raha tha mujhe mohabbat chahiye

Suna Hai Ishq Se Teri Bohat Banti Hai


Suna Hai Ishq Se Teri Bohat Banti Hai
Ek Ehsan Kar Us Say  Pooch Qasoor  Mera

Khamosh reh Tanha beth Roo Or Yaad kar us ko


Khamosh reh Tanha beth Roo Or Yaad kar us ko
Tune Ishq kia hai Gunah chota nahi hai Tera

Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle


Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle

Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle

Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle

Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle

Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle

Apne Dushman se main be-waja khafa tha
Mere qatil to mere apne hawari nikle

Dekhta Hoon Tasveer-e-Yaar To Aata Hai Rashk





Dekhta Hoon Tasveer-e-Yaar To Aata Hai Rashk
Her Baat La-Jawaab Thi Agar Bewafa Na Hota

Ye Adaaien Ye Tabassum Ye Mast Nigaahein



Ye Adaaien Ye Tabassum Ye Mast Nigaahein...!
Hijab Orho Kay hum Phir Se Ujar Naa Jaein Kahin

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus


Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus !
Dil ne jhailay hain mohabbat mein wo azaar k bus !

Ek lamhay mein zamanay mere hathon se gaye !
Es qadar taiz hui waqt ki raftaar k bus !

Tu kabhi rakh k humein dekh to bazaar k beech !
Es tarha toot k aaein gay kharidaar k bus !

Kal bhi sadiyon ki musaafat pe kharray they donon !
Darmiyaan aaj bhi parti hai wo deewar k bus !

Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na kerun !
Warna shikway to hain etnay mere yaar k bus !

Saamne Manzil Thi Aur Peeche Uss Ki Aawaaz


Saamne Manzil Thi Aur Peeche Uss Ki Aawaaz
Rukta Toh Safar Jaata, Chalta To Bichhar Jaata,

Mekhana Bhi Ussi Ka Tha, Mehkaar Bhi Ussi Ka Tha,
Agar Peeta To Imaan Jata, Na Peeta To Sanam Jaata,

Saza Aisi Mili Mujh Ko, Zakham Aise Lage Dil Par,
Chhupata To Jigar Jaata, Sunata To Bikhar Jaata,

Mere Gham Ki Dawa Na Thi Siwaye Yaar Ke Koochay Ke
Main Jaun To Kidhar Jaun, Main Jata To Kidhar Jata.

Abhi Masroof Hoon Kafi Kabhi Fursat Mein Sochon Ga


Abhi Masroof Hoon Kafi Kabhi Fursat Mein Sochon Ga
K Tuj Ko Yaad Rakhne Mein Main Kya Kya Bhol Jata Hoon…!

Wo Kehta Hai Bata Tera Dard Kaise Samjhoon


Wo Kehta Hai Bata Tera Dard Kaise Samjhoon
Main ne Kaha Ishq Kar Bohat Kar Aur Kar K Haar Jaa

Chor ye baat milay zakham kahan se mujhko




Chor ye baat milay zakham kahan se mujhko
Zindagi itna bata kitna safar baqi hai

Kehti rahi par aya na yaqeen usko wafa par meri


Kehti rahi par aya na yaqeen usko wafa par meri
Jo hansta raha auro ka saath deyta raha har baat par meri


Ek taraf tou Lipta raha wujood say merey
Dusri taraf Dushmano ko deyta raha Fouqiat har baat par meri


Merey liyey na sahi kuch logo k dar say he KARAM kiya
Ehsan tha tumhara YA ikhtiyar tha sirf us saa at par Meri


Thaam na saka jo meri MUHABBAT ko apney mazboot kaandho par
Janey kyu jacha raha wo BEYWAFA ab tak nigah par Meri


us BEYWAFA ki khatir kiya khud ko BARBAAD
Bey naam -o- nishaan kar gaya jo wujood Zindagi par Meri

uski nazar mein meri tabahi k wastey


uski nazar mein meri tabahi k wastey
itna kholoos tha k shekayat na hoo saki

Tufaan ki lehro ruk Jao Na le Jao Mujh ko Saahil par


Tufaan ki lehro ruk Jao Na le Jao Mujh ko Saahil par
Kashti ki Qasam,Mojon ki Qasam,Saahil pe Hamara koi nahi

jurm sirf ishq tha




jurm sirf ishq tha....???
to saza-e-mout detay
ye tanhai kyun?

ye dil hi to janta hai meri mohabbat ka aalam


ye dil hi to janta hai meri mohabbat ka aalam
k mujhe jeenay k liye saanson ki nahi teri zarorat hai

Ehsas to bohat hai usko meri chahat ka


Ehsas to bohat hai usko meri chahat ka
wo tarpaata hai issliye k main aur bhi toot kar chahoon usko

be-qarari meri dekhi hai to ab mera zabt bhi dekhna


be-qarari meri dekhi hai to ab mera zabt bhi dekhna
itna khamosh rahoon ga k cheekh utho gay tum

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai



Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai,

Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi,
Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai,

Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein,
Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai,

Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani,
Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai,

Bichar ke us say main sirf iss liye nahi bikharta,
Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai...

Aaj usne aik aur dard diya to yaad aaya



Aaj usne aik aur dard diya to yaad aaya
Humne bhi to duaaon mein uske dard maangay thay

Phir nahi Bastey wo Dil jo Ek Baar ujar jatey hain



Phir nahi Bastey wo Dil jo Ek Baar ujar jatey hain
Qabrein jitni bhi Sajao, koi zinda nahi hota

Dilon mein fark par jaye to itna yaad rakhna tum


Dilon mein fark par jaye to itna yaad rakhna tum
Daleelain, minnatain or falsafay bekaar jatay hain

Usko chaha to mohabbat ki takleef samajh aayi



Usko chaha to mohabbat ki takleef samajh aayi..
warna is lafz ki sirf tareef suna karte they....!!

Is duniya k log bhi kitne ajeeb hain



Is duniya k log bhi kitne ajeeb hain..!!
saarey khilone chor kar jazbaat se khela karte hain..!!!

Halat Se Lagta Hai Tera Apna Tha Koi

Halat Se Lagta Hai Tera Apna Tha Koi
Itni Sangdili Se Barbaad Koi Ghair Nahi Karta

Kitni ajeeb hai iss shehr ki tanhai bhi

Kitni ajeeb hai iss shehr ki tanhai bhi
  Hazaron log hain magar phir bhi koi tum sa nahi

Karo phir Se koi Waada



Karo phir Se koi Waada Kabhi na phir bicharne ka,
Tumhein kya fark parta hai bicharne mein, Mukarney mein.

Aik naqsh bhi idhar se udhar na honey paaya

Aik naqsh bhi idhar se udhar na honey paaya
Main jaisa tumhien mila tha,mujhe waisa khud se juda kar

Ye Sab Rastay K Sathi thay



Ye Sab Rastay K Sathi thay inhein Aakhir Bicharna tha
Chalo Ab Ghar Chalen jana Bohat Aawargi Kar Li

Hum log zameen kay rehnay walay



Hum log zameen kay rehnay walay
phirty rahay asmaan sambhalay

aay mjhse khitab karny walay
chehry se naqaab to hata lay

sahir se bicharr gaye musafir
 darya main hain kashtiyon k halay

 ik bheed hai dostoon ki laikin
tanhai ny bun diye hain jalay

hum mujrim e raftaan e shab thy
tasdeeq na kar saky ujalay

duniya tjhy chortay hain hum bhi
ja tu bhi ab apna raasta lay

 soraj hai zameen pe girnay wala
mumkin ho to saye ko bacha lay

 mushkil hai Saleem ghar basana
diwar ka kya hai jo utha lay

Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain

Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain
to kya ab khwab din main bhi nazar aanay lagay hain?

na aankhain dekh sakti hain na hathon ki pohanch hai
 ye kaisay ab k pairon per samar aanay lagay hain

tumhain kehta nahin tha khaak main taseer bhi hai
udhar dekho musaafir lout kar aanay lagay hain

bisaat e assmaaN se ab m'ri jaanib sitaary
saf e sayyargaaN ko toR kar aanay lagay hain

bayabaaN paaoN se lipty huwye hain gard ho kar
hamain dar'paish ye kaisay safar aanay lagay hain

abhi to koi aabaadi ki soorat bhi nahin hai
abhi se bastiyoN main nauha'gar aanay lagay hain

abhi to milnay ki sa'at Saleem aai nahin hai
abhi se dil main kaisay kaisay dar aanay lagay hain

Bhar Aayi Meri Aankhen Jab Uska Naam Aaya

Bhar Aayi Meri Aankhen Jab Uska Naam Aaya
Ishq Nakam Sahi Phir Bhi Bohat Kaam Aaya…

Humne Mohabbat Me Aisi Bhi Guzaari Raatein
Jab Tak Aansu Na Bahe Dil Ko Na Aaraam Aaya……

Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Main Ne

Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Main Ne
Apni In Ankhon Ko Tere Khwaab Ka Laalach De Ker…

Ajeeb Saneha Mujh Par Guzarne Wala Tha

Ajeeb Saneha Mujh Par Guzarne Wala Tha
Main Gir Ke  Kal Raaat Marne Wala Tha

Tum Aagaye Chalo Acha Hua Yaqeen Karo
Abhi Abhi Main Tumhe Yaad Karne Wala Tha

aaj Kuch Waqt K Liye Pas Mere Kash Tum aa Jao



aaj Kuch Waqt K Liye Pas Mere Kash Tum aa Jao
Bohat Tanha Hoon Main Aj Kash Tum aa Jao

Kabi Khud Ko Itna kamzor Na Honay Dia Mainay
Par aaj Bikhar Gaya Hon Main Kash Tum aa Jao

Kaafi Din Say Ji Raha Hon Bin Teray
aaj nahi Guzar Raha Ek Pal Kash Tum aa Jao

Waqt Ki Raftar B Jaisay Tham Si Gayi Hai
Tham Na Jain Meri Saans Kash Tum aa Jao

Raat Sari Guzarti Hai Inhi Hisaabon Mein



Raat Sari Guzarti Hai Inhi Hisaabon Mein…
Mohabbat Thi… Nahi Thi…? Hai…. Nahi Hai…

Do hi lafzon ka tha woh afsana



Do hi lafzon ka tha woh afsana Jo suna kr khamosh ho bethay
GALIB..!
Ibteda ye k tum ko chaha tha Inteha ye k khud ko kho bethay

Main Ghalib aur Faraz nahi jo biyaaan karon lafzon mein

Main Ghalib aur Faraz nahi jo biyaaan karon lafzon mein
Kahan alfaaaz ka wazan kahan mere yaaar ka husssn

Dil ko ab tark e tamanna pe karain ge raazi

Dil ko ab tark e tamanna pe karain ge raazi
Ye shab o roaz mohabbat k sitam kon sahey

Khuda Rakhe Mohabbat Ke Liye Aabaad Dono Ghar

Khuda Rakhe Mohabbat Ke Liye Aabaad Dono Ghar
Main Unke Dil Main Rahta Hoon woh Mere Dil Main Rahte Hain

ab milo to ahd e guzashta k taqaze na karna



ab milo to ahd e guzashta k taqaze na karna
waqt badla hai wo bhi zaroor badla ho ga

ye meri anaa ki shikast hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

ye meri anaa ki shikast hai
na dawa karo na dua karo
jo karo tu bas ye karam karo
mujhe merey haal pe chor do
wo jo aik tarkash-e waqt hay
abhi us main teer bohat sey hain
koi teer tum ko na aa lagey,
merey zakhm-e dill pe na yoon hanso
na main kohkan hoon na Qais hon
mujhe apni jaan aziz hai
mujhe tark-e ishq qobool hay,
jo tumhain yaqeen-e wafa na ho
jo tumhaarey dil main shokook hain
too ye eh'hadd name fozool hain
jo merey khotoot hain phaar do,
ye tumhaari khat hain samait lo
jo kisi ko koi sataay ga
too gila bhi hontoo.n pe aay ga
ye too ik asool ki baat hai
jo khafa hai mujh sey koi too hoo
mujhe abb sadaoo.n sey kaam hai
mujhe khaal-o khad ki khaber nahi
too phir is farib sey
faida ye naqaab abb too utaar do
mujhe apney fuq'r pe naaz hai
mujhe is karam ki talab nahi
main gada nahi hon faqeer hon
ye karam gadaoo.n main bant do
ye faqat tumhaarey sawal ka
mera mukhtasar sa jawaab hai
ye gila nahi hai kholoos hai
meri guftugu ka asar na loo
ye udh'horey chand ki chandni bhi
undh'hairi raat main kum nahi
kahi ye bhi saath na chor dey
abhi roshni hai chaley chalo


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

Mere wajood main sachai meri maan ki hai

Mere wajood main sachai meri maan ki hai
wa garna shair ibadat to qarz e jaan ki hai

safr main lamha e awargi bhi shart sahi
thehr gaye to alamat ye imtehaan ki hai

samandaroon main jazeeray panah detay hain
magar ye khaak kisi arz e be amaan ki hai

bala ka habs ragoon main utr gaya ab k
na janay zehr ghuli ye hawa kahan ki hai

suna hai ab nahin utray ga hum pe koi azaab
zameen pe aakhri tuhmat ye asmaan ki hai

na tu mila hai, na khud hi se nibh saki apni
to phr ye umr kahan hum ne raiyegaan ki hai

khulay dareecho main yadain saji huwi hain Saleem
bichar k usse ye surat qarar e jaan ki hai

Ijz e khaksaari kyun fakhr e kajkulahi kya

Ijz e khaksaari kyun fakhr e kajkulahi kya
jab mohabbatain ki hai phir koi gawahi kya

hum rutooN k mujrim hain per hawa ki nazroon main
teri parsai kya meri be-gunahi kya

wasl ka koi lamha raiygaaN nahin laikin
jo alag na karta ho aisa rastaa hi kya

tum to aankh walay thay aks mil gaya hoga
main sada ka be-chehra mera aaina hi kya

shab guzeedah logoN ko neend se ulajhna hai
raat ki musafat main razme subh gahi kya

janay kab bigar jaiN janay kab sanwar jaiN
dast e kozah gar main hain apna aasraa hi kya

tum Saleem shair ho shoratooN pe mat jao
masnade faqeeri per khabt e baadshahi kya

Barishain tham gayein dukh barasnay lagay aainay dhul gaye aur hawa chal pari

Barishain tham gayein dukh barasnay lagay aainay dhul gaye aur hawa chal pari
neend main dagmagaty huway saye khwaboN main chlny lagy aur hawa chal pari

chand se aik bichri kirn baam o dar ki udaasi pe ik naam likhti rahi
raat bhr khirkiyaaN band karky yunhi loog sooty rahay aur hawa chal pari

koi aahat huwi, aany waly musafir ko dekha nahi, dhool urnay lagi
deep phailay huway rastooN per abhi to jalay bhi na thy aur hawa chal pari

ab k badal bhari bastiyooN ki hadooN se guzrty huway janay kya keh gaye
shaak dar shaakh bethay parinday bhi ghar chooR kr uR gaye aur hawa chal pari

door jaty mawaishi galay main paRi ghantiyooN ki sadaaoN pe hansty rahay
us purani haveli main jaga koi, wo dareechay khulay aur hawa chal pari

meray khaitooN main sona ugalti huwiiN saari faslain teh e khaak jalnay lagi
barishooN ki dua maangny k liye hath uThay hi thy aur hawa chal pari

jany kya baat thi hum kitabooN k safhay ultay rahay, habs barhta raha
phir achanak kisi naam per be-iradah hi lab rakh diye aur hawa chal pari

Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga

Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga
woh aanay wala shakhs janay kis taraf se aaye ga

to taye howa na, is gali k more tak to sath hain
per is gali k more tak bhi ik zamana aaye ga

udaas parbatoon se sardiyon ki barf aa mili
magr ye rabt dhoop ki kiran se toot jaye ga

jo log hijr ki musafaton main thak k so gaye
khyal e mousam e wisaal hi unhain jagaye ga

wo ajnabi to shehr chor kar kabhi ka jaa chuka
kitab e dil ki roo-numai main kisay bulaye ga

tu apnay harf us k naam kar k khud ko bhol ja
ye ehd e be-hunr hai kis ko mou'ajza dikhaye ga

sivaye us k apni teergi main aap jal utthain
Saleem shab zadoon ko kon roshni dikhaye ga

Friday, November 2, 2012

Tujh Ko Maloom Bhi Hai Kitna Talabgar Hoon Tera



Tujh Ko Maloom Bhi Hai Kitna Talabgar Hoon Tera…
Pooch Un Farishton Se Jo Roz Likhte Hain Duaein Meri..

Tumhein Meri Mohabbat Ki Kasam Sach Sach Bata Dena



Tumhein Meri Mohabbat Ki Kasam Sach Sach Bata Dena..
Gale Main Daal Kar Baahain, Manana Kiss se Seekha Hai

Tere Jane Ka Sabab Nahi Poochen Ge Hum


Tere Jane Ka Sabab Nahi Poochen Ge Hum
Magar Le Jana Apni Yaden Bhi Jane Se Pehle

Us Ne Mujhe Apne Talukaat Ki Qaid Me Rakha Hai



Us Ne Mujhe Apne Talukaat Ki Qaid Me Rakha Hai
Na Mera Hota Hai Na Mujhe Kisi Ka Hone Deta Hai

Wabasta teri Hayaat Se Sabi Silsilay Hai Magar


Wabasta teri Hayaat Se Sabi Silsilay Hai Magar
Meri Zindgi Hai Mukhtasir teri Mohabbat K Liye!!

Wo Bole Mohabat Ka Sager Bohat Gehra Hai


Wo Bole Mohabat Ka Sager Bohat Gehra Hai
Hum Ne Kaha Dobne Wale Kabi Socha Nahi Karte.

Samajh jaata hoon lekin deir se mein daao-pech us ke

Samajh jaata hoon lekin deir se mein daao-pech us ke
wo baazi jeet jaata hai mere chaalaak honey tak

Main to Mar k Bhi Bazm-E-Wafa Main ZINDA hoon

Main to Mar k Bhi Bazm-E-Wafa Main ZINDA hoon
**GHALIB**
Talash Kar Meri MEHFIL Mera Mazaar Na Poch…!

Jok-Dar-Jok Tamanaon K Dhoke Kha Kar

Jok-Dar-Jok Tamanaon K Dhoke Kha Kar ..
Dil Agar Ab Bhi Dharkta Hai To Phir Pagal Hai

usne pucha mafhoom-e-ghalat fehmi

usne pucha mafhoom-e-ghalat fehmi
main ne kaha tum se umeed-e-wafa rakhna

Daaman-e-Dil Se Lipat Jaate Hain Yaad Ke Jugnu

Daaman-e-Dil Se Lipat Jaate Hain Yaad Ke Jugnu,,
Log Kuch Aise Bhi Hain Jin Ko Main Kabhi Bhool Hi Nahi Sakta

muddat se muntzir thay teri inayat k

muddat se muntzir thay teri inayat k

khair kuch to kiya chalo tabah hi sahi

Mera us sheher main basera hai

Mera us sheher main basera hai
faraz
jahan log sajdon main dosro ka bura chahty hain

wo aayi thi kya


Main rozgaar ke silsile mein

kabhi kabhi uske shaher jata hoon….

to guzarta hu us gali se………

wo neem-tariq si gali…

aur usike nukkad pe mota purana sa ik khambha.

usi k niche…

tamam shab intezaar karke..

main chor aaya tha shaher uska.. bahot hi khasta si roshni ko teke..

wo khambha aaj bhi wahi khada hai.

futur hai…magar….

main us khambhe ke paas jakar…

nazar bachake mohallewalo ki…

puch leta hoon aaj bhi ye.

ke….

mere jaane k bad bhi…..

wo aayi to nahi thi..?

wo aayi thi kya

Kis raat ki aankhon main paiman-e-sahar ho ga

Kis raat ki aankhon main paiman-e-sahar ho ga
Ye khwaab jo kompal hai, kis rutt main shajar ho ga

Aanchal ki hawa rakhna, loo iss ki bacha rakhna
Yay shama jidhar ho gi, parwana udhar ho ga

Jab raat kay parday say phir raat nikal ayay
Uss waqt kidhar jayay, jo ehhl-e-nazar ho ga

Tareekh kay chakar main wo morh nahi aata
Jab shaad makee.n hon gay, aabaad nagar ho ga

Bujhtay huay taroon ki jhilmil bhi ghaneemat hai
Iss tehri hui shab main, kuch wehm-e-safar ho ga

Afkaar pay pehra hai, qanoon yay tehra hai
Jo sahib-e-izzat hai wo shehr-e-badar ho ga

Mehsoos yay hota hai, har jalta hua tara
Guzray huay waqton main ik zakhm-e-safar ho ga

Sehmay huay panchi ki awaaz batati hai
Uss ka bhi yaheen koi, jalta hua ghar ho ga

raastay, manzilain, justaju.. aur main




raastay, manzilain, justaju.. aur main
ham nafas.. ik teri aarzu.. aur maiN

koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahiN
aaina hai mere rubaru.. aur maiN

jugnuoN ki talab ka sila yeh mila
teergi hai mere chaar su.. aur maiN

khwaab ki titliyaN jab uReeN aankh say
reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur maiN

raat bhar jaagtay haiN sitaroN talay
tera lehja.. teri guftagu.. aur maiN

aankh maiN khwaab ki kirchiyaN reh gayeeN
hath maiN qismatoN ka lahu.. aur maiN

sochti hooN.. kahaN jaooN, kis say kahooN
shehr dushman.. Faza bhi adu.. aur maiN

ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
ik tere hijr ki aabju.. aur maiN

daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
ro diye haiN.. teri aarzu.. aur maiN

raig-e-sehra huwe haiN tere ishq maiN
mere aihsaas ki aabru.. aur maiN

mere saahir.. bichaRtay samay reh gayeeN
teri aankhaiN mere chaar su.. aur maiN

kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
!..aur koi na ho.. sirf tu.. aur maiN

nisar main teri galiyon k aye watan,k jahan



nisar main teri galiyon k aye watan,k jahan
chali hai rasm k koi na sar utha k chale
jo koi chahanewala tawaf ko nikle
nazar chura k chale, jism-o-jan bacha k chale

hai ahl-e-dil k liye ab ye nazm-e-bast-o-kushad
k sang-o-khisht muqayyad hain aur sag azad

bahot hain zulm k dast-e-bahana-ju k liye
jo chand ahl-e-junun tere nam leva hain
bane hain ahl-e-hawas muddai bhi, munsif bhi
kise wakil karen, kis se munsifi chahen

magar guzaranewalon k din guzarte hain
tere firaq main yun subh-o-sham karae hain

bujha jo rauzan-e-zindan to dil ye samajha hai
k teri mang sitaron se bhar gai hogi
chamak uthe hain salasil to hamane jana hai
k ab sahar tere rukh par bikhar gai hogi

garaz tasavvur-e-sham-o-sahar main jite hain
giraft-e-saya-e-diwar-o-dar main jite hain

yun hi hamesha ulajhti rahi hai zulm se khalq
na unki rasm nai hai, na apani rit nai
yun hi hamesha khilaye hain hamne ag main phul
na unki har nai hai na apani jit nai

isi sabab se falak ka gila nahin karte
tere firaq main ham dil bura nahin karte

gar aj tujhse juda hain to kal baham honge
ye rat bhar ki judai to koi bat nahin
gar aj auj pe hai tala-e-raqib to kya
ye char din ki khudai to koi bat nahin

jo tujhase ahd-e-wafa ustavar rakhte hain
ilaj-e-gardish-e-lail-o-nihar rakhte hain

Khabar-E-Tahayyur-E-Ishq Sun, Na Junun Rahaa Na Pari Rahi

Khabar-E-Tahayyur-E-Ishq Sun,Na Junun Rahaa Na Pari Rahi
Na To Tu Rahaa,Na To Main Rahaa,Jo Rahi So Bekhabari Rahi

Shaah-E-Bekhudi Ne Ataa Kiyaa Mujhe Ab Libaas-E-Barahanagi
Na Khirad Ki Bakhiyaagari Rahi Na Junun Ki Pardaadari Rahi

Chali Simt-E-Gaib Se Ik Havaa Ki Chaman Zahur Kaa Jal Gayaa
Magar Ek Shaakh-E-Nihaal-E-Gham,Jise Dil Kahen So Hari Rahi

Nazar-E-Tagaaful-E-Yaar Kaa Gilaa Kis Zabaan Son Bayaan Karun
Ki Sharaab-E-Sad-Qadaah Aarazu Khum-E-Dil Mein Thi So Bhari Rahi

Vo Ajab Ghadi Thi Main Jis Ghadi Liyaa Dars-E-Nuskhaa-E-Ishq Kaa
Ki Kitaab-E-Aql Ki Taaq Mein Jyun Dhari Thi Tyun Hi Dhari Rahi

Tere Josh-E-Hairat-E-Husn Kaa Asar Is Qadar Son Yahaan Huaa
Ki Na Aaine Mein Jilaa Rahi, Na Pari Kun Jalvaa-Gari Rahi

Kiyaa Khaak Aatish-E-Ishq Ne Dil-E-Benavaa-E-”Siraj” Kon
Na Khatar Rahaa, Na Hazar Rahaa, Magar Ek Bekhatari Rahi

bohat se khwaab dekhe hain kabhi shairoon main dhalain ge

bohat se khwaab dekhe hain kabhi shairoon main dhalain ge
koi chehra tarashain ge koi soorat nikalain ge

abhi tau paoon ke neechay zameen mehsoos hoti hai
jahan ye khatam howay gi, waheen hum ghar bana lain ge

yehi hai na tumhain hum se bicharr janay ki jaldi hai
kabhi milna tumhare mas’alay ka hal nikaalain ge

abhi chupke se hijar asaar lamha aye ga aur phir
tum apni rah chal do ge, hum apna raasta lain ge

jo apne khoon se apni gawahi khaak per likh de
hum aise admi ko aasmaanon per utha lain ge

hamaray hath jis ke qatal ki sazish main shamil thay
saleem us shaks ke qatil se hum kaya khoon baha lain ge

Panion panion jab chaand ka haala utraa

Panion panion jab chaand ka haala utraa
Neend kee jheel pe, ik khawab purana utraa

Aazmaish mein kaha’N, ishq bhi poora utraa
Husn ke aagy to, taqdeer ka likha utraa

Dhoop dhalne lagi, deewar se saya utraa
Sat’ha hamvaar hue, payar ka daria utraa

Yaad se naam mitta, zehan se chehra utraa
Chand lamho’N mein nazar se teri, kya kya utraa

Aaj kee shab mein paresha’N hoon to yn lagta hy
Aaj mahtaab ka chehra bhi hy, utraa utraa

Meri vehshat, ram-e-aahoo se kahi’N barh kar thi
Jab meri zaat mein tanhai ka sehraa utraa

Ik shab-e-gham ke andhery pe nahe hy mokoof
Tu ne jo zakhm lagaya hy, wo gehra utraa

Na intazaar ke lazzat na aarzu ke thakan

Na intazaar ke lazzat na aarzu ke thakan
Bujhi hain dard ke shamein, k so gya hy badan

Sulag rahi hain na jany, kis aanch se aankhein
Na aansooan ke talab hy, na rat jago’N ke thakan

Dil-e-freb zada, dawat-e-nazar pe na ja
Yeh aj k qad-o-gaisoo hain, kal k dar-o-rasan

Bahar-e-qurb se pehly, ujaarh deti hain
Judaion ke hawain, mahabbato’N k chaman

Phir aaj shab tery kadmo’N ke chaap k humraah
Sunai de hy dil-e-na muraad ke dharkan

Yeh zulm dekh k tu jaan-e-shairi hy magar
Meri ghazal mein tera naam bhi hy jurm-e-sukhan

Ameer-e-shehar, ghareebo’N ko loot leta hy
Kabhi ba heela-e-mazhab, kabhi ba naam-e-watan

Hawa-e-dehar se dil ka chiragh kya bujhta
Magar FARAZ salamat hy, yaar ka daaman

Chaman ka haal to ye hai k khaak urrti hai



Chaman ka haal to ye hai k khaak urrti hai
kidhar sey ho ke bahaaroN ke kaarwaaN guzrey

dayaar-e-yaar ka saara safar anokha tha
qadam, qadam pe naya dey ke imtehaaN guzrey

saba bhi aai to phooloN ke muNh jhulsa ke gai
yahaaN sey abr bhi barsaa ke bijliyaaN guzrey

kabhi to waar raqeeboN ke de gaey the mazaa
kabhi to pyar azeezoN ke bhi giraaN guzrey

aey dil sambhal ke kisi ko hisaab deyna hai
ke zindagaani ke lamhey kahaN kahaN guzrey

Chalo ye farz kartey hein k tum mashriq

Chalo ye farz kartey hein
ke tum mashriq
 mein maghrib hoon
 chalo ye maan letey hein
barra lamba safar hey ye
magar
ye bhi haqeeqat hey
tumhaari zaat ka sooraj
bohat sa raasta chal kar
meri hasti mein doobey ga

Dua-e-neem shab Sada-e-aarzo



Dua-e-neem shab
Sada-e-aarzo
Wisaal-e-yaar ke
Khayal-o-Khwab main
Jo ho gayi magan
To lafz kho gaye
Dua-e-neem shab
Adhoori reh gayi
Jo baat thi buhat
Zaroori, reh gayi

dunya se wafa kar ke silaa Dhoondh rahe hain

dunya se wafa kar ke silaa Dhoondh rahe hain
ham log bhi nadan hain ye kya Dhoondh rahe hain

kuch dair Thahar jaye banda-e-insaaf
hum apne gunaahon main Khata Dhoondh rahe hain

ye bhi to sazaa hai ki giraftar-e-wafa hoon
kyun log mohabbat ki sazaa Dhoondh rahe hain

dunya ki tamannaa thi kabhi hum ko bhi 'Faakir'
ab zaKhm-e-tamannaa ki dava Dhondh rahe hain

Rang tha roshni tha qayamat tha

Rang tha roshni tha qayamat tha
Jis per hum mer mitey qayatmat tha

Jhush jamaloon main dhoom thee apni
Naam usska bhi waja-e-shuhraat tha

Paas-e-awargee hamein bhi buhat
Uss ko nhi atraaf-e-wehshut tha

Hum bhi takraar keyna they khoo ger
Wo bhi na ashnaye hujaat tha

Khywab tabeer ban ker aye atey they
Kiya ajab mausam-e-rafaqt tha

 Or phir yuun huwa keh toot gayea
Wo jo aik rishta muhabbat tha

Apney he habe-e-haal mangti hoon

Apney he habe-e-haal mangti hoon
bas dua-e-wisaal mangti hoon,

teri qurbat main jo guzar sako,
main wohi maah-o-saal mangti hoon,

jiski tabeer mil sake mujhko,
khuab sa ik khyaal mangti hoon,

mere hathon ko bas hina dedey,
tujh se main zar na maal mangti hoon

Ghazal ka saaz uthao bari udaas hai raat

Ghazal ka saaz uthao – bari udaas hai raat
Nawaa-e-Meer sunaao – bari udaas hai raat

Kahen na tumse to phir aur kisse jaa ke kahen
Siyaah zulf ke saayon – bari udaas hai raat

Suna hai pehle bhi aise mein bujh gaye hain chiraagh
Dilon ki khaair manaao – bari udaas hai raat

Diye raho yuheen kuchh der aur haath mein haath
Abhi na paas se jaao – bari udaas hai raat

Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intezaar Guzari Hai

Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intezaar Guzari Hai
Talaash Mein Hai Seher, Baar Baar Guzari Hai

Junoon Mein Jitni Bhi Guzari Bakaar Guzari Hai
Agarche Dil Pe Kharaabi Hazaar Guzari Hai

Huyi Hai Hazrat-E-Naaseh Se Guftagu Jis Shab
Woh Shab Zaroor Sar-E-Ku-E-Yaar Guzari Hai

Woh Baat Saare Fasaane Mein Jiska Zikr Na Tha
Woh Baat Unko Bahut Naagvaar Guzari Hai

Na Gul Khile Hain, Na Unse Mile, Na May Pee Hai
Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar Guzari Hai

Chaman Pe Gaarat-E-Gulcheen Se Jaane Kya Guzari
Qafas Se Aaj Saba Beqaraar Guzari Hai

Haami bhi na thay munkir-e- Ghalib bhi nahi thay

Haami bhi na thay munkir-e- Ghalib bhi nahi thay
hum ehl-e-tazabzub kisi janib bhi nahi thay!!

iss bar bhi Duniya ney Hadaf Hum ko bnaya!
iss bar to hum Shah k msahib bhi nahi thay

Baich aye sir-e-Qariya-e-zar jo Bahr-e-pindaar
Jo Daam miley aisey munasib bhi nahi thay !!!!

mati ki muhabat mein hum aashufta siron ney
wo qurz utarey hein k wajib bhi nahi thay!!

lo deti hoi raat, sukhan kerta hoa din !!!!!
sab uss k liey, jis se mukhatib bhi nahi thay

neend ankhon se udi phool se khushboo ki tarah

neend ankhon se udi phool se khushboo ki tarah
ji behal jaye ga shab se tere gaisoo ki tarah

dosto jashn manao ke bahar aai hai
phool girtay hain har ik shaakh se ansoo ki tarah

ab tere hijr main lazzat na tere wasl main lutf
in dinon zeest hai thehray huway anso ki tarah

zindagi ki yahi qeemat hai ke arzaan ho jao
naghma-e-dard liye mauja-e-khushboo ki tarah

kis koi maloom nahin kaun tha wo shakhs “Aleem”
jis ki khatir rahay awaara hum aaho ki tarah

ab ki baar mosam mein sakhtiyan bohat hongi

ab ki baar mosam mein sakhtiyan bohat hongi
din ki roshni mein bhi teyrgi bohat hogi
qehqahoN k peechay bhi dard cheekhtay honge..
meray dil k aalam ko..
aur meray har ghum ko..
koi poochnay wala.. haaN.. magar nahi hoga..!
Hijr ki aziyat meiN ashk tou bahanay hain
teri sard-mehri ne yeu bhi din dikhanay hain
rut bahaar ki hogi
aur dil pe pat-jhaR ka saniha bapa hoga
koi mil raha hoga..aur koi jda hoga
ye jo haadsa hoga..iss se barh k kya hoga?
apni khushk aankhon meiN dard k sailaboN ko
sabr sey chhupana hai..
aur teri judaai ke zakhm bhi chhupanay hain
teri sard-mehri ne ye bhi din dikhanay hain

iss se pehle keh yeh dunia mujhy rusva kar day

iss se pehle keh yeh dunia mujhy rusva kar day
TU mery jism,meri rooh ko acha kar day

yeh jo haalat hai meri, mein ne banai hai magar
jesa TU chaahta hai, ab mujhy veysa kar day

mery har faisly mein TERI raza shaamil ho
jo TERA hukam ho,wo mera iraada kar day

mujh ko wo ilm sikha,jis se ujaaly phelain
mujh ko wo ism parha,jo mujhy zinda kar day

zaya hony sy bacha le,mery ma’abood mujhy
yeh na ho, waqt mujhy kheyl tamasha kar day

Teri soorat jo bhari rehti hai aankhon main sada

Teri soorat jo bhari rehti hai aankhon main sada
ajnabi log bhi pehchane say lagtay hain mujhay
tere rishton main to dunya hi piro li main nay
Aik say ghar hain sabhi, aik say hain bashanday
ajnabi shehar main kuch ajnabi lagta hi nahin
aik say dard hain sab aik say hi rishtay hain

Umar kay khail main ek tarfa hai ye rassa-kashi
Ik sira mujh ko dia hota to kuch baat bhi thi
Mujh say tagda bhi hai aur samnay aata bhi nahin
Samnay aaye mere daikha mujhay baaat bhi ki
Muskarye bhi puranay kisi rishtay kay liye
Kal ka akhbar tha bas daikh liya rakh bhi diya

Wo meray saath hi tha duur tak magar ik din
Mud ke jo daikha to wo aur mere saath na tha
Jaib phat jaye to kuch sikkay bhi gir jate hain
Chaudhwain chand ko phir aag lagi hai daikho
Phir buhat dair talak aaj ujala ho ga
Raakh ho jaye ga jab phir say amawas ho gi

chalne ka hosla nahi rukna mohal kerdiya



chalne ka hosla nahi rukna mohal kerdiya
ishq ke is safar ne to mujh ko nidhal kerdiya,

milte hue dilon ke beach or tha faisla koi,
usne mager bicharte waqt aur sawal kerdiya,

ae mere gul zameen tujhe chah the ek kitab ki,
ahle kitab ne mager kiya tera hal kerdiya,

ab ke hawa ke sath hai damn-e-yaar muntazir,
bano-e-shab ke hath mein rakhna sambhal kerdiya,

mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha,
hum ne to ek baat ki us ne kamal kerdiya,

mere labo per mohar the,per mere sheesha rooh ne to,
shehar ke shehar ko mera waiqf-e-hal kerdiya,

chehra o naam ek sath aj na yad aasake,
waqt ne kis shabih ko khuwab-o-khayal kerdiya,

ke mudato baad usne aj mujh se koi gila kiya,
mansab-e-dilbari pe kaya mujh ko bahal kerdiya,

Khwab Marte Nahi

Khwab Marte Nahin
Khwab Dil Hain Na Ankhen Na Sansen K Jo
Reza-Reza Hue To Bikhar Jayenge
Jism Ki Maut Se Ye Bhi Mar Jayenge

Khwab Marte Nahin
Khwab To Roshni Hain, Nava Hain, Hava Hain
Jo Kale Pahadon Se Rukte Nahin
Zulm K Dozakhon Se Bhi Phukte Nahin
Roshni Aur Nava Aur Hava K Alam
Maqtalon Main Pohunch Kar Bhi Jhukte Nahin

Khwab To Harf Hain
Khwab To Noor Hain
Khwab Suqraat Hain
Khwab Mansoor Hain

tumhein jab roo baroo dekha karein gay

tumhein jab roo baroo dekha karein gay
yeh socha hhai, bohat socha karein gay

nazar mein choudhveen ka chaand ho ga
samandar ke zuba’N bola karein gay

kabhi to sur khuru thehrei’N gy jazby
tumhein khat, khoon sy likha karein gay

bicharna hy, tou yeh tey kar lein ab sy
judai ka safar, tanha karein gay

na aaey ga koi ilzaam tujh par
hum apne aap ko rusvaa karein gay

iss uljhan mein kati hy umer Mohsin
keh pal do pal mein hun, kya kya karein gay

Baat Yeh Tere Siwa Aur Bahla Kis Se Karain

Baat Yeh Tere Siwa Aur Bahla Kis Se Karain
Tu Jafa Kaar Howa Hay To Wafa Kis Se Karain

Aiina Samne Rakhain To Nazar Tu Aaye
Baat Jo Tujh Se Chupaani Ho Kaha Kis Se Karain

Hath Uljhe Howay Resham Main Phansa Baithe Hain
Ab Bata Kaun Se Dhaage Ko Juda Kis Se Karain

Zulf Se Chashm Lab O Rukh Se K Tere Ghum Se
Baat Yeh Hay K Dil O Jaan Ko Rihaa Kis Se Karain

Tu Nahi Hay To Phir Aye Husan E Saaz Bata
Is Bhare Shehar Main Hum Jaise Mila Kis Se Karain

Tu Nay To Apni SI Karni Thi So Kar Li Khawar
Masla Yeh Hay K Hum Is Ka Gilla Kis Se Karain

Qurbat bhi nahi dil se utar bhi nahi jata

Qurbat bhi nahi dil se utar bhi nahi jata
wo shakhs koi faisla kar bhi nahi jata

Dil ko teri chaahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujhse bichhaR janae ka dar bhi nahi jata

Aankhein hain ke khali nahi rehti hain Lahu se
aur zakhm-e-judaai hai ke bhar bhi nahi jata

Wo rahat-e-jaan hai magar is dar badari mein
aisa hai ke ab dhyaan udhar bhi nahi jata

Hum dohri aziyyat ke gariftaar musafir
paaon bhi hain shull shauq-e-safar bhi nahi jata

Paagal huye jate ho Faraz us se mile kya
itni si khushi se koi mar bhi nahi jata

Sham e Gum Kuch US Nigah e Naaz Ki Batain Karoo

Sham e Gum Kuch US Nigah e Naaz Ki Batain Karoo
Bekhudi Barhati Chali Hai Raz Kee Batain Karoo

Ye Sakoot e Naaz Ye DiL Kee Ragon Ka Tootna
Kahmoshi Main Kuch Shikast e Saaz Kee Batain Karoo

Nikahat e Zulf e Pareshan Dastan e Sham e Gum
Subah Hone Tak Isi Andaz Kee Baten Karoo

Har Rug e Dil Vajd Main Atii rahe Dukhati Rahi
Yoon Hi Us Ke Ja o Beja Naz Ki Batain Karo

Kuch Kafas Ki Tiliyon Sa Chan Raha Ha Noor Sa
Kuch Fiza Kuch Hasrat e Parwaz Ki Batain Karo

Jiske Furqat Ne Palat Di Ishq Ki Kaya Firaq
Aaj Usi Essa Nafas Damasaz Ki Batain Karo

Yun To Milne Ko Hum Mile Hain Bohat

Yun To Milne Ko Hum Mile Hain Bohat
Darmiyan Phir Bhi Faasle Hain Bohat

Tu Mili Bhi To Chund Pal K Liye
O Zindagi Tujh Se Gile Hain Bohat

Ek Do Yaden Aur Tanhai Mili
Pyar Karne K Ye Sile Hain Bohat

Yun To Milne Ko Hum Mile Hain Bohat
Darmiyan Phir Bhi Faasle Hain Bohat

Teri Chahat Mein ham zamana bhol gaye

Teri Chahat Mein ham zamana bhol gaye
Tere baad kisi ko apnanan bhool gaye

Phir laga sara jahan veerana humko
jese chaman mein phool mehkana bhool gaye

Tumse mohabbat hai bataya sare jahan ko
yehi baat tumko batana bhool gaye

humne mita dia jahan b likha tha naam tera
magar apne dilse mitana bhool gaye

wo juda huye humse muskurate huye
magar apni palkon se aansu hatana bhool gaye..

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha?Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon ?
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon ?
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ?.
Main To Ek Khamosh Sa ShaIr
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa ShaIr
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

Koi ilzam Laga Kar To Saza Di Hoti

Koi ilzam Laga Kar To Saza Di Hoti
Phir Meri Lash Sare-Bazar Jala Di Hoti

Itni Nafrat Thi To Piyar Se Dekha Kioun Tha
Mujhe Pehle Hi Meri Okat Bata Di Hoti

Dekh Kar Zakham Mere Ankhain Chura Li Tu ne
Poch Kar Kuch To Zkhmon Ki Dawa Di Hoti

So Jata Main B Chain Se Jana
Tu Ne Agar Shoq Se Aanchal Ki Hawa Di Hoti

Zindagi Apni B Chain Se Guzar Jani Thi
Tu Ne Agar Pyar Se Dil Main Jaga Di Hoti.

Kitabo K Panne Palat K Sochte Hain

Kitabo K Panne Palat K Sochte Hain,
Yoon Palat Jaye Zindagi To Kya Baat Hai,

Tamana Jo Puri Ho Khaabon Mein
Haqiqat Ban Jaye Toh Kya Baat Hai,

Kuch Log Matlab K Liye Dundhte Hain Mujhe,
Bin Matlab K Liye Koi Aaye Toh Kya Baat Hai,

Katal kar ke to sab le jayenge dil mera,
Koi baato se le jaaye to kya baat hai

Jo Shrifo Ki Sharafat Mein Baat Na Ho
ek Sharabi Keh Jaye To Kya Baat Hai ,

Zinda Rhene Tak To Khushi Dunga Sabko,
Kisi ko Meri Maut Pe Khushi Mil Jaye Toh Kya Baat Hai

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata

Hosh walon ko khabar kya be-khudi kya cheez hai

Hosh walon ko khabar kya be-khudi kya cheez hai
Ishq kijye phir samjhye zindagi kya cheez hai

Un say nazren kya milen roshan fizayen ho gayen
Aaj jana pyar ki jadugari kya cheez hai

Khulti zulfon nay sikhaye mosamon ko shayeri
Jhukti aankhon nay bataya maykashi kya cheez hai

Ham labon say keh na paye un say hal-e-dil kabhi
Aur wo samjhay nahin ye khamoshi kya cheez hai

Ab ghar hai na koi rastaa hai

Ab ghar hai na koi rastaa hai
bas aik chiragh jal raha hai

sab shehr k log so rahay haiN
ik mera makaan jagta hai

ToTay ye hisaar e shab k ab to
khud se hi diya uljh paRa hai

dekhi jo kitab e umr ab k
aik aur warq ulat gaya hai

aaye rasm e shikasta paai tu ne
dil ko baRa hosla diya hai

utray ga na qarz asmaaN ka
jb tak ye zameen zair e paa hai

dekho to zara sakhi samndr
dariya se khiraaj mangta hai

zinda hai abhi Saleem Kousar
kis gham main ye shehr marr raha hai

Aap Masroof Beyhisab Sahi

Aap Masroof Beyhisab Sahi
Mere Khat Ka Bhi Ek Jawab Sahi

Mere Shaney Pe Apna Sar Rakhdo
Aaj Ek Aur Inqlab Sahi

Apna Anchal To Thik Karlijiye
Aap Ke Hath Me Kitab Sahi

Zahain Taarik Ho To Kiya Kijiye
Lakh Hathon Me Aaftab Sahi

Waqt Ke Sath Chal Pado Rahi
Waqt Maana Bahot Kharab Sahi

Aah Ko Chaahiye Ik Umar Asar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye Ik Umar Asar Hone Tak
Kaun Jitaa Hai Ter Zulf Ke Sar Hone Tak

Daam Har Mauj Men Hai Halqaa-E-Sad_Kaam-E-Nahang
Dekhen Kya Guzare Hai Qatare Pe Gauhar Hone Tak

Aashiqi Sabr-Talab Aur Tamanna Betaab
Dil Ka Kya Rang Karun Khun-E-Jigar Hone Tak

Ham Ne Maanaa Ke Tagaaful Na Karoge Lekin
Khaak Ho Jaayenge Ham Tum Ko Khabar Hone Tak

Partav-E-Khuur Se Hai Shabanam Ko Fanaa Kii Taalim
Main Bhi Hoon Ek Inaayat Ki Nazar Hone Tak

Yak_Nazar Besh Nahin Fursat-E-Hasti Gaafil
Garmi-e-Bazm Hai Ik Raqs-E-Sharar Hone Tak

Gam-E-Hasti Kaa‘Asad’Kis Se Ho Juz Marg ilaaj
Shammaa Har Rang Mein Jalati Hai Sahar Hone Tak

sham ke paich-o-kham sitaro’n se

sham ke paich-o-kham sitaro’n se
zeena zeena, utar rahi hy raat
yoo’N saba pass sy guzarti hy
jesy keh de kisi ne payar ke baat
sehan-e-zindaa’N ke by watan ashjaar
sar nigoo’N, mehav hain banany mein
daaman-e-aasma’N pe naqsh-o-nigaar
shana-e-baam par damakta hai
meharbaa’N chandni ka dast-e-jameel
khaak mein ghul gae hy aab-e-najoom
noor mein ghul gaya hy arsh ka neel
sabz gosho’N mein neelgoo’N saey
lehlahaty hain, jis tarah dil mein
mouj-e-dard-e-firaaq-e-yaar aaey
dil sy paiham khayal kehta hai
itni sheeree’N hy zindagi iss pal
zulm ka zehar gholny waly
kaamraa’N ho sakei’N gy aaj na kal
jalwa gaah-e-visaal ke shammei’N
wo bujha bhi chuky, agar tou kya?
chaand ko gul karei’N, tou hum jaanei’N

Gham-e-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Gham-E-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi,
Chale Aao K Duniya Se Ja Raha Hai Koi,

Azal Se Keh Do K Ruk Jaaye Do Ghari K Lye,
Suna Hai Aane Ka Waada Nibha Raha Hai Koi,

Woh Is Naaz Se Bethe Hein Laash K Paas,
Jese Roothe Howe Ko Mana Raha Hai Koi,

Palat Ker Na Aa Jaaye Phir Saans Nabbzon Mein,
Itne Haseen Haathoon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi..

Popular Posts