Thursday, September 3, 2009

Aik shikastaa din ki mutthi band hey kuch samaan liye

Aik shikastaa din ki mutthi band hey kuch samaan liye

Kon issey ab merey ilawa kholney ka dukh jheley ga
Kon yahan ab bey kal hoga dil main kuch arman liye
Gar ye muthi khul jaye to jantey ho kia paou gey...??
Aansoo ban kar beh janey wali aik adhoori neend ka dukh
Aik sisakta sajdah jis key aakhir main do uthey haath
Bin mangey kuch,dhalkey hoangey aapna aap bey jaan liye
Aik jhijakta aks,lamha bhar chamka tha aayeney main
Dojey pal hi khudh sey khafa tha kuch tevar anjaan liye
Sehra honton ki wo hasrat piyaas ka ik meezan liye
Do aankhain jo gum sum hain ab khaubon ka ahsan liye
Uss manzar ko takti reh gayeen jo ab shayed badley ga
Aik udasi ka paikar kuch bikhrey bikhrey halon main
Ishq ka pehla misra likh kar jazb ka ik deewan liye
Ik adhoori nazm ka misra ..ik takmeel ki khuahish main
Samjhey janey ki hasrat ka na mumkin imkaan liye
Sari ummr ki umeedon key bey rooh jismon key lashkar
Aaj bhi yakja ho betha tha rayeegan janey ki khatir
Ik musalsal mehv e intezar tamna janey kia kia dheyan liye
Din key kinaron par kuch boseeda safhey rakh ki soorat they
Apney andar jal bujhi shikaston ki ik dastaan lye
Koun issey ab merey ilawa kholney ka dukh jheley ga !!!
Auk shikastaa din ki mutthi band hey kuch samaan liye

No comments:

Popular Posts