Thursday, September 3, 2009

toot kar bikhra woh sapna jo humara na tha

toot kar bikhra woh sapna jo humara na tha
usse ankhon mein palna bhi gawara na tha

socha tha ek khwabooN k duniya basa lenge
par sath duniya meiN apna koi guzara na tha

uski ek judai se tukdo meiN bikar raha maiN
ya allah, yeh diL kabhi itna behchara na tha

jab suna woh aa rahe laut kar ashiyaaN meri
tab hamare paas shansooN ka sahara na tha

humne manga khuda se,agali janib milana unse
par kambkhat uss  ka koi ishara na tha

naa maiN kabhi itna tuta,naa kabhi besahara tha
shayad likha kismat meiN apna koi nazara na tha

chaha inn dhadkano mein ab kisi aur ko basa le
par faysal mera yeh dil yuh bhi awara na tha

No comments:

Popular Posts