Jo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte
Kisi ka saath Raste mai kabhi chora nahi karte
Kahin is se Tumhare haath hi zakhmi na ho jayein
Jo Toote Aaina to phir ise jora nahi karte
Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Biphri hoi Mojon ka Rookh mora nahi karte
Tijarat ke usulon per Mohabbat ki nahi jati
Mohabbat mai kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte
Sitam karna Mohabbat per, yeh hai Adat zamane ki
Zamane ke sitam per Hum yeh Dil tora nahi karte
Mohabbat ke usulon mai, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte
Jis se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo
Mohabbat mai kabi Khayanat kia nahi karte
__________________

No comments:
Post a Comment