Thursday, September 3, 2009

Magar main chahon to tum ko bhula bhi sakta hom

Tumhari yaad meri zindagi hai yeh tasleem
Magar main chahon to tum ko bhula bhi sakta hom

Tumhara ghum mere haq men chrag-e raah sahi
Main iss chiragh ko zidd men bujha bi sakta hon

Yeh teegi meri detrina dost hai warna
Main apne ghar ke diye phir jala bhi sakta hon

Main kya karon mujhay viraniyon se ishq sa hai
Khizaan ko warna baharan bana bhi sakta hon

Zuban pe laane ki har baat go nahin hoti
bazid ho to, tum yeh tuhmat utha bhi sakta hon

Sune baghair na samjhey to sun ke kya hoga
Kaho to waise fasana suna bhi sakta hon

Ba'ya fasurda dilli apne doston ke liye faysal
Ghazal ke saaz pe naghma suna bhi sakta hon

No comments:

Popular Posts