Thursday, September 3, 2009

wo khushbo bhiaja karti thei maiN nazmaiN likhta rahta tha

wo khushbo bhiaja karti thei maiN nazmaiN likhta rahta tha
wo hans k ujaa'la karti thei maiN subhaiN likhta rehta tha

geeli raai'et pe sahil ki doobtey suraj k hum'raah
wo chup se chalti rahti thei maiN soochaiN likhta rehta tha

deep wafaa k hotey they ya shaa'ed do taa'ray they
wo muj ko dekha karti thei maiN ankhaiN likhta rehta tha

tap'ti dhoop ka rang bhi tu phoolooN sa ho jaa'ta tha
wo zulfaiN khola karti thei maiN shaa'maiN likhta rehta tha

toot kar aksar chaa'hat maiN rooth k yuunhi ulfat maiN
wo muj ko jeeta karti thei maiN maa'taiN likhta rehta tha

donoo ki pahli chaa'hat thei donoo toot k miltey thay
wo waday karti rahti thei maiN kasmaiN likhta rehta tha

channd diN jab aa thahray they uski meri judaa'ee maiN
maiN us k haath maiN pahrooN phir lakee'raiN likhta rehta tha

jaa'N se payaray se shikwa khud ko ruswa karna tha
maiN apnay hontooN pe chup ki bus muhraiN likhta rehta tha

dil ki hasrat asi thei dil maiN jo rah jaa'ti thei
jo us se kah nahi paata tha wo bataiN likhta rehta tha

diN maiN dard ki shidat ko hans k maiN sah jaa'ta tha
per biN us k jo kat ti thein maiN raa'taiN likhta rehta tha

No comments:

Popular Posts