Thursday, September 3, 2009

Sitaron say bharey is asmaan ki wusaaton mai

Sitaron say bharey is asmaan ki wusaaton mai
Mujhey apna sitaara dhoondhna hai
Falak par keh-kashan dar keh-kashan ek bekaraani hai
Na uska naam hai maloom---na koi nishaani hai
Bass itna yaad hai mujh ko
Azal ki subah jab saarey sitaarey
Alwidaai guftago kartey huay raston pay chal niklay thay
Toh uski aankh mai ek aur taara jhilmilaaya tha
Usi taarey ki soorat ka
Meri bheegi hui aankhon mai bhi ek khuwab rehta hai
Mai apnay ansoo-on mai apnay khuwabon ko sajaata hun
Aur uski raah takta hun
Suna hai gumshuda cheezain jahan par khoyee jaati hain!!
Wahin pay mil bhi jaati hain!!!



_________________

No comments:

Popular Posts