Thursday, September 3, 2009

Hazar Bar Yeh Chaha K Aik bar Kabhi

Hazar Bar Yeh Chaha K Aik bar Kabhi
Woh Meray Samnay Aay
To Mein Bhi
Ji Bher K
Palak Jhapak Me Usay Dekh Loon Nazar Bher K

Hazar Bar Yeh Socha K Aik Bar Kabhi
Woh Meray Samnay Bethay
To Aik Sa’at Me
Bus Aik Lufz Me Ji Bher K Guftago Kerloo’n
Mein Apnay Husn-e-Talab Hi Ko SurkhRo Kerloo’n

Hazar Bar Yeh Socha Kabhi To Aisa Ho
Her Aik Bar Magar Yun Hoa K Aaker Bhi
Idher Udher Ki
Zamanay Ki
Fulsafay Ki, Sayasat Ki, Ilm-o-Danish Ki
Hazar Batoo’n Ko Usnay
Bana K Shehad Meray Kan Me Utar Dia
Aur Apnay Husn-e-Baya’n Se Mery Sama’at Ko
Ajeeb Dhung Se So So Terha Nikhar Dia
Woh Aee
Baithi
Chali Bhi Gaee
Magar Mujhko______________ _______
Hamesha Aik Hi Hasraat ,Hamesha Aik Lagan
Hamesha Aik Tamana, Hamesha Aik Chubhan
K Bar-e-Gosh Basad Ujz Us K Aik Sukhan
Jalay Jo Shama Kabhi To Idhar Bhi Aik Kiran

Hazar Bar Yeh Socha Kabhi To Aisa Ho
Hazar Bar Yeh Socha Kabhi To Aisa Ho.



_________________

No comments:

Popular Posts