Thursday, September 3, 2009

Tum apne khwab meri ankhon se chura lete to achcha tha

Tum apne khwab meri ankhon se chura lete to achcha tha
lagi dil ki yunhi dil se bujha lete to achcha tha


woh jo abaad thi kabhi ek rangeen tasavvur se
haseen duniya meri rooh ke nigaar khane me
har ek darpan se jhalakti rukhe dost ki manind
jhilmilati huyi chashme namm ke pur aab paimane me
tasavvur ki yeh sab tasveeren bhi ab mita lete to achcha tha

Tum apne khwab meri ankhon se chura lete to achcha tha

na di mohlat ghame hasti ne gar ahad-o-wafa nibhane ki
shama-e-aarzoo ko qatra qatra pighal jane diya hota
yeh maye khud hi dhal jati zeest ke paimane me
ghame duniya ko garr dil me utar jane diya hota
ghame jana se bhi daman apna bacha lete to achcha tha

Tum apne khwab meri ankhon se chura lete to achcha tha
lagi dil ki yunhi dil se bujha lete to achcha tha



_________________

No comments:

Popular Posts