Thursday, September 3, 2009

kitna aasaan moHabbat meN hai dhokaa karna

kitna aasaan moHabbat meN hai dhokaa karna
varna yeh i'shq faqat sar ka hai sodaa karna

kis ko aata hai bhala e'hd ka eefaa karna
verna aata hai yahaN sab ko hee da'waa karna

tum ne seekhee hai kahaN? zikr yeh be-jaa karna
baatooN baatooN meN kisee baat pe uljhaa jkarna

apne kehne ka bharam rakh~ nah sako ge tum bhi
phir kaho ge kabhi aisaa, kabi vaisaa karna

tum nah maano ge kabhi apni KhataheN lekin!
kabhi furSat meN meree baat peh sochaa karna

jo hoova mujh peh gawaraa hai mujhee ko lekin!
phir nah is-tarHa kisee aur ko ruswaa karna ****

chand lamHooN meN bikhar jaatee hai dil kee dunya
u'mr lagtee hai use joR ke yak-jaa karna

yeh bhi nekee hai agar jaan lo sab se baRh kar
dost dushman ke kisee e'yb ka pardaa karna

kaun sikhlaye gaa hotee hai bhalahee kaise?
hai buraa kaam, burahee ka bhi charchaa karna

tum nah reh paho ge insaanoN ke jangal meN agar
phir kaheeN door pahaRooN pe baseraa karna

tum chale jaaho, palaT kar naheeN daikheN tum ko
shart yeh keh KhayalooN se nah guzraa karna

d'oob jaho ge to saHel bhi nah paaho ge kaheeN!
meree aaNkhooN ke samandar meN nah utraa karna

ashk behte heN tu behne do Khuda ke aage
hooN nadamat ke, to SeHraa ko bhi daryaa karna

thak gayii chalte hoove baad-e-muKhalif :faysal
ruKh hawaooN ka idhar bhi kabhi moRaa karna



_________________


No comments:

Popular Posts