Thursday, September 3, 2009

chaahat ko aasraa nahi miltaa

Umr bhar ki chaahat ko aasraa nahi miltaa
khamoshi ke waqfo me
baat toot jati hai
aur siraa nahi milta
maazrat ke lafzo ko roshni nahi milti
lazzate pazeerayi phir kabhi nahi milti
phool rang waadon ke
manzilen sukadti hain
raah mudne lagti hai
berukhi ke gaare se
bedili ki mitti se
faasle ki eenton se
eent judne lagti hai
shak ki zard tehni par
phool bad gumaani ke
is tarha se khilte hain
zindigi se pyaare bhi ajnabee se lagte hain
dashte beyaqini me raasta nahi milta
waahmo ke saaye se
Umr bhar ki mehnat ko
pal me loot jate hain
khwaab toot jate hain
umr bhar ki chaahat ko aasra nahi milta
zindigi se pyaare bhi ajnabi se lagte hain………



_________________

No comments:

Popular Posts